Mohsin Naqvi – The Great Poet’s Collection



Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…

==
Badla na teray bad b mozo-e-guftago”
"Tu ja chuka hai phir b meri mehfalon mein hai”
==
Mohsin Naqvi
==

Qatl kabhi chuptay thay sang kee deevaar ke beech
ab tou khulnay lagay maqtal bharay bazaar ke beech
==
Mein nay iss torr say chaha tujhy aksar jana
Jesay mahtab ko bay-ant sumandar chahay
Jesay soraj ki kiran seep k dil mein utray
Jesay khushbo ko hawa rang say hatt kar chahay

==

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

==

Iltimas-e-Dua From All of You with another great ghazal of Mohsin

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA

MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA

TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH’SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA

MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA

MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA

MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA
==
urdu
==
shayari

=

==

Two of my favourites :



Mohsin Naqvi Poetry

4,752 تبصرے

  1. دسمبر 14, 2015 بوقت: 1:25 شام

    Main kaise Thande Hathon se tere Galoon ko Chota tha!

    DECEMBER main Tujhe meri Shararat Yad aee Gi!

  2. AiK JhooT AuR SaHi said,

    دسمبر 1, 2015 بوقت: 10:00 صبح

    میں ہوں عالم وجد میں تجھے کیا خبر
    تو ایک کام کر تو بھی تماشائی بن جا

  3. AreebaZahra said,

    نومبر 1, 2015 بوقت: 6:08 شام

    وہ جو اک شرط تھی وحشت کی اٹھا دی گئی کیا
    میری بستی کسی صحرا میں بسا دی گئی کیا

    وہی لہجہ ہے مگر یار تیرے لفظوں میں
    پہلے اک آگ سی جلتی تھی،بجھا دی گئی کیا

    جو بڑھی تھی کہ کہیں مجھ کو بہا کر لے جائے
    میں یہیں ہوں تو وہی موج بہا دی گئی کیا

    پاوں میں خاک کی زنجیر بھلی لگنے لگی
    پھر میری قید کی معیاد بڑھا دی گئی کیا

    دیر سے پہنچے ہیں ہم دور سے آئے ہوئے لوگ
    شہر خاموش ہے سب خاک اڑا دی گئی کیا

    • sayedaliraza said,

      نومبر 13, 2016 بوقت: 7:15 شام

      wo jo ek raaz tha chahat ka maza tha jis main,,,,,tm batao k wohi bat bata digai kia,,,,,,,

  4. mohsin said,

    اکتوبر 31, 2015 بوقت: 7:20 شام

    اب یہ حسرت ہے کہ سینے سے لگا کر تجھ کو…..
    اس قدر رووں کہ آنکھوں میں لہو آ جاۓ…
    03454400344

  5. Asim manzoor said,

    جولائی 23, 2015 بوقت: 7:45 صبح

    ….aio apna jiSm chund dain ent pathar ki tarah..
    kiss ko be is ka 2nd Misra a it a a ho to complete kar dayn

  6. RANA MAHMOOD said,

    جون 1, 2015 بوقت: 9:45 صبح

    Zindagi men do lahza koi mere pass na betha,

    Aaj sab mere pas bethe ja rahe the.

    Koi Tohfa na mila aaj tak mujhe,

    Aur aaj phool hee phool diye ja rahe the.

    Taras gaya mn kisi k hath se Diyeek kapde ko,

    Aur aaj nae nae kapde Orhaae ja rahe the.

    Do Qadam sath na chalne wale,

    Aaj Qafla bana kar chale ja rahe the…

    Aaj pata chala k Mout itni haseen hoti he,

    Aur hum to yunhi Jiye Ja rahe the…

  7. Qaiser said,

    مئی 30, 2015 بوقت: 5:55 شام

    Sitamkash maslhaat sy hun k khubaan tuj py aashiq hyn
    Takluff bartarf mil jy ga tj sa raqeeb akhir

  8. Shaista said,

    دسمبر 24, 2014 بوقت: 3:27 شام

    تین سال…

  9. Tabasum Shaam said,

    دسمبر 23, 2014 بوقت: 5:43 شام

    MaiN ke is shahar ka sIImaab-sifat shaayar hooN
    MeriI takhliiq mere fikr ki pehchaan bhi hai
    Mere harfoN, mere lafzoN mein hai chehra mera
    Mera fan ab mera mazahab, mera iimaan bhi hai
    Meer-o-ghalib na sahii phir bhi ghaneemat jaano
    Mere yaaroN ke sarahaane mera deewaan bhi hai

    Mujh’se poochho ke shikast-e-dil-o-jaaN se pahale
    Mere ehsaas pe guzarii hai qayaamat kya-kya
    Saaya-e-daar-o-shab-e-gham ki sakhaawat se alag
    Main ne sochii qad-o-gesu kii alaamat kya-kya
    Mere toote hue khwaboN ke kharaaboN se pare
    Mere bikhre hue jazbe the salaamat kya-kya

    Tanz-e-aghyaar se ehabaab ke ikhlaas talak
    Main ne har nemat-e-uzma ka libaada pahana
    Dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi de gi
    Main ne har zakhm qaba se bhi zyaada pahana
    Meri aankhoN mein kharaashein theeN dhanak ki lekin
    Meri tasveer ne malboos to saada pahana

    Zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
    Tamgha-e-jurrat-o-ezaaz-e-hukoomat ki tarha
    Khul ke barsi meri sochoN pe adaawat ki ghata
    AasmaanoN se utarti huii daulat ki tarha
    Darya-qarya huii ruswa mere fan ki chaahat
    Kone-kone mein bikharti huii shohrat ki tarha

    Mujh pe karhki hain kamaanein mere gham-khwaroN ki
    Mere ashkoN ka tamaasha sar-e-baazaar huaa
    Mere aangan mein hawaadis ki sawaari utri
    Mera dil wajh-e-azaab-e-dar-o-deewaar huaa
    Ishq mein izzat-e-sa’adaat bhula kar aksar
    Meer saahab ki tarha main bhi gunahgaar huaa

    Apni ujrhii huii aankhoN se shuaayeiN le kar
    Main’ne bujhatii huii sochoN ko jawaanii dii hai
    Apnii ghazloN ke sukhan-taab sitaare chun kar
    SaNgreizoN ko bhi aashufta-bayaanii dii hai
    Husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraaN se mohabbat kar k
    Main’ne har morh ko ik taaza kahaanii dii hai

    Mujhse roothe hain mere apne qabeele waale
    Mere seene mein har ik teer-e-sitam toota hai
    Lafz-o-ma’nii ke taqaazoN se ulajh kar aksar
    Mere haathoN mera majrooh qalam toota hai
    Karb-e-na-qadri-e-yaaraaN ke bhanvar mein ghir kar
    Baar-ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai

    Main ke is shahar ka seemaab-sifat shaayar hoon
    Main ne is shahar ki chaahat se sharf paaya hai
    Mere a’ada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
    Mere ehabaab ki nafrat mera sarmaaya hai
    Meri bikharii huii rusawaai hai shoharat meri
    Mere seharaa ki tamaazat mera sarmaaya hai

    Mutma’in hoon ke mujhe yaad rakhe gii duniya
    Jab bhii is shahar ki tareekh-e-wafa likhe gii
    Mere ghar ke dar-o-deewaar mujhe sochein ge
    Vus’at-e-dasht mujhe aabla-pa likhe gi
    Mera maatam isii chup-chaap fiza mein hoga
    Mera noha inhiiN galiyoN ki hawa likhe gii

  10. manahil said,

    دسمبر 18, 2014 بوقت: 11:45 صبح

    yahan plz wo b post kran "mutmain hn k mjha yaa rkha ge mara noha enhein galeyon le hawa likha ge

  11. junaid khan said,

    دسمبر 14, 2014 بوقت: 10:32 صبح

    Saazish thii Rah’baRon Kii Ya Qismat Ka KheL tha,,,
    Hum HijjraTon K Bahad B qaatiL k Ghar Main Thy
    ❤ ❤ ❤

  12. zafar chaudhry boxer said,

    نومبر 6, 2014 بوقت: 12:59 شام

    Samandar me fana hona to kismat ke kahani ha.
    jo dubte hain kenaroon pr mujhe dukh un pe hota hai.
    sender;zafar chaudhry Boxer ❤ ❤ ❤ ❤ ❤

  13. zafar chaudhry boxer said,

    نومبر 6, 2014 بوقت: 12:57 شام

    Humko ye Gumah tha k chaha hame zamane ne.
    azeez to sb he ko thy magar zarortoon ke tarha.

    sender;zafar chaudhry Boxer 03217723011

  14. maan baloch said,

    فروری 1, 2014 بوقت: 6:55 شام

    khuda to milta ha nsaan he nahi milta
    yeh cheez wo ha jo dekhi kaheen kaheen ma ny

  15. Silent Girl said,

    دسمبر 28, 2013 بوقت: 1:40 شام

    ………………………………………………………..

  16. Silent Girl said,

    دسمبر 28, 2013 بوقت: 1:27 شام

    …………………………

  17. Shiza said,

    نومبر 22, 2013 بوقت: 12:02 شام

    Jaisay dhaga ho koi tasbeeh main..
    Aisay sanson k drmiyan ho tum.,.

  18. Shiza said,

    نومبر 21, 2013 بوقت: 10:55 صبح

    Samnay us k badal jatay hain..
    Lfz saray hain munafiq meray.,

  19. laiba naheed said,

    نومبر 20, 2013 بوقت: 11:54 صبح

    Heeran hoon ke mudat-e-qaleel main MOHSIN,, wo shakhas meri soch se zayada badal gaya,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

  20. GHULAM ABBAS SAWAN said,

    اکتوبر 1, 2013 بوقت: 5:16 شام

    IK KHUSHI KIAMILI KAI DARD MUGH SAY ROTH GAYE DUA KARO K MAIN PHIR SAY UDAS HO JAON 03432199173GHULAM ABBAS SAWAN

  21. zeshan said,

    ستمبر 8, 2013 بوقت: 10:25 صبح

    yaqeen mano.. koi majbooriyan nahi hotin..
    log aadatn wafa nahi karty..!!!

  22. Waqar Ali said,

    جولائی 29, 2013 بوقت: 6:41 صبح

    Meri mayat pe bhi wo log kahan aaye Waqar
    Jinko khooshiyion me dekhta to me khush hota tha

  23. adil ali said,

    جولائی 6, 2013 بوقت: 6:31 شام

    aable paa bhi hein sehra ke tapte ret mein Adil
    dagmagaye na qadam phir bhi teri talaash mein

    Adil Ali sahaanpuri

  24. adil ali said,

    جولائی 6, 2013 بوقت: 5:41 شام

    guzri he zindagi apni musalsal isi intazar mein
    utrega ek din hamare aangan mein roshni leke suraj

    • adil ali said,

      جولائی 6, 2013 بوقت: 5:55 شام

      tu bhi nikli jaati he haathoN se mee lamhon ki tarah
      zindagi teri talaash mein ahaN kahan se guzre hein ham

      Adil Ali saharanpuri

      • adil ali said,

        جولائی 6, 2013 بوقت: 6:28 شام

        bekhudi khan le aayi ab mujhko adil
        talash thi jiski mujh mein hi gum tha kahaiN

  25. raza said,

    جولائی 2, 2013 بوقت: 3:11 شام

    khud ba khud chor gaye chalo a6a hua
    itnay ehbab kahan hum se sambhalay jatay
    hum b kocha e janaa se ghalib ki tarah mohsin
    na nikaltay tu kissi roz nikalay jatay
    R A Z A
    03224276737

  26. wish said,

    جولائی 2, 2013 بوقت: 9:38 صبح

    ik pal na mila takht-e-takhayul warna..teri her soch ko hum raaj kumaari krtay.. i want this poetry

  27. naeem ch said,

    جولائی 1, 2013 بوقت: 3:37 شام

    bar ha khawab main pa k mujhe piyasa mohsin

    us ke zulfon ne kiya raqas ghattaon jasa

  28. Anaya said,

    جون 21, 2013 بوقت: 8:28 صبح

    Dost Kia Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain
    Har Naye Mor Par Aik Zakham Naya Dete Hain

    Tum Se To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
    Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Dete Hain

    Kese Mumkin Hai Ke Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaly
    Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Dete Hain

    Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aye Dost
    Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain

    Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bhroosa ‘Tabish’
    Waqt Parne Pe Wohi Loog Dagha Dete Hain

  29. Anaya said,

    جون 21, 2013 بوقت: 8:25 صبح

    Taluq Torta Hun To Mukammal Torr Deta Hun
    Jise Mein Chor Deta Hun Mukammal Chorr Deta Hun
    Mohabbat Ho Keh Nafrat Ho, Bhara Rehta Hun Shiddat Se
    Jidhar Se Aaye Ye Darya Udhar Hi Morr Deta Hun

    Yaqeen Rakhta Nahi Hun Mein Kisi Kache Taluq Par
    Jo Dhaga Tootne Wala Ho Us Ko Torr Deta Hun
    Mere Dekhe Hue Sapne Kahin Lehrain Na Le Jayn
    Ghronde Rait Ke Ta’meer Kar Ke Chorr Deta Hun

    ‘Adeem’ Ab Tak Wohi Bachpan Wohi Tehzeeb Kari Hai
    Qafas Ko Torr Deta Hun, Parinde Chorr Deta Hun…

  30. Anaya said,

    جون 21, 2013 بوقت: 8:22 صبح

    Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko
    Aisy jalte hain wafaon ko nibhane wale……

  31. Anaya said,

    جون 21, 2013 بوقت: 8:18 صبح

    Do Char Nahi Mujhe Faqat Aik Hi Dikha Do ‘Dost’,
    Wo Shakhs Jo Andar Se Bhi Bahar Ki Tarhan Ho..!

  32. awnings said,

    جون 19, 2013 بوقت: 7:32 شام

    It is appropriate time to make a few plans for the longer term and it is time to be happy. I have read this post and if I may I desire to counsel you few interesting things or tips. Perhaps you could write subsequent articles referring to this article. I desire to read more issues approximately it!

  33. جون 19, 2013 بوقت: 8:04 صبح

    Woah this weblog is magnificent i like studying your posts. Stay up the great paintings! You understand, a lot of individuals are hunting round for this info, you can help them greatly.

  34. جون 18, 2013 بوقت: 1:00 شام

    Hey There. I discovered your blog using msn. That is a really neatly written article. I will be sure to bookmark it and return to learn extra of your useful information. Thanks for the post. I’ll certainly comeback.

  35. DiYa HeRe ...!!! said,

    جون 10, 2013 بوقت: 9:42 شام

    Ho Sakey To Rukh Say Pardey Ko Hatta Kar Daikhiye
    Aaj Apna Haal-e-Dil Hum Ko Suna Kar Daikhiye
    Jaan Jaayein Gey Wafa Mein Hum Kisi Say Kam Nahin
    Aap Bas Dil Ka Dareecha Khatkhata Kar Daikhiye
    Jab Kabhi Mujh Ko Bulaaney Ki Tamana Dil Mein Ho
    Mairey Koochey Ki Taraf Bas Kasmasa Kar Daikhiye
    Aap Ke Zor-o-Sitam Ko Kab Talak Sehta Rahoon?
    Mairey Jazbon Ko Kabhi To Aazma Kar Daikhiye
    Ye Taqaaza Mairi Ulfat Ne Kiya Hai Aap Say
    Diakhiye Jab Bhi Kabhi To Muskura Kar Daikhiye
    Zeest Ki Raanaaiyaan Hon, Ya Nishaat-e-Wasl Ho
    Ho Sakey To Mairi Aankhon Mein Sama Kar Daikhiye
    Kyun Jhijhaktey Hain Humaari Khasta Haali Daikh Kar
    “Kitni Wusat Hai Humaarey Dil Mein Aa Kar Daikhiye”

  36. DiYa HeRe ...!!! said,

    جون 10, 2013 بوقت: 9:41 شام

    ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں ہر کام کرنے میں
    ضروری بات کہنی ہو کوئی وعدہ نبھانا ہو
    اسے آواز دینی ہو اسے واپس بلانا ہو
    ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں
    مدد کرنی ہو اس کی، یار کی ڈھارس بندھانا ہو
    بہت دیرینہ رستوں پر کسی سے ملنے جانا ہو
    ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں
    بدلتے موسموں کی سیر میں دل کو لگانا ہو
    کسی کو یاد رکھنا ہو کسی کو بھول جانا ہو
    ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں
    کسی کو موت سے پہلے کسی غم سے بچانا ہو
    حقیقت اور تھی کچھ اس کو جا کے یہ بتانا ہو
    ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں ہر کام کرنے میں

  37. DiYa HeRe ...!!! said,

    جون 10, 2013 بوقت: 9:40 شام

    Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
    Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
    to shadab ho bhi sakti thi.

    Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
    Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

    Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
    Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.

    Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
    isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.

    Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
    Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

    Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
    Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi
    Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.

  38. اپریل 12, 2013 بوقت: 12:11 شام

    We’re a gaggle of volunteers and starting a new scheme in our community. Your website offered us with helpful info to work on. You’ve performed an impressive activity and our whole group shall be grateful to you.

  39. seducers said,

    اپریل 9, 2013 بوقت: 2:28 صبح

    Thank you for some other informative blog. Where else could I get that type of information written in such an ideal means? I’ve a mission that I am just now operating on, and I have been at the glance out for such information.

  40. اپریل 8, 2013 بوقت: 3:42 صبح

    I’ll immediately snatch your rss as I can’t to find your email subscription link or newsletter service. Do you’ve any? Please permit me understand in order that I may just subscribe. Thanks.

  41. Anaya said,

    مارچ 16, 2013 بوقت: 11:54 صبح

    سلسلے توڑ گیا وہ سبھی جاتے جاتے
    ورنہ اتنے تو مراسم تھے کہ آتے جاتے
    شکوۂ ظلمت شب سے تو کہیں‌بہتر تھا
    اپنے حصے کی کوئی شمع جلاتے جات
    اس کی وہ جانے اسے پاسِ وفا تھا کہ نہ تھا
    تم فرازؔ اپنی طرف سے تو نبھاتے جاتے

    احمد فراز

  42. nasir butt said,

    مارچ 5, 2013 بوقت: 2:30 شام

    dvsddfg

  43. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 12:05 شام

    Hallat mere mujh se naa maloom kijye…
    Mudat huwi ha mujh se mera waasta nahi….
    03457327677

  44. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 12:02 شام

    Kuch Baat Hy Teri Baato’n Mein, Jo Baat Yahan Tak Aa Pohanchi,
    .
    .
    Hum Dil Se Gaye, Dil Tum Pe Gaya Aur Baat Kahan Tak Ja Pohanchi. . .
    03457327677

  45. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 11:56 صبح

    Ache Logo’n Ko Tou “Sab” Hii Pasand Kerty Hyn
    Hy Koi “Talab’gar” __ K __ Bohat Bura Hoon Main… !!! ^_-
    03457327677

  46. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 11:53 صبح

    Main Us Kay Choray Huway Ghar Kee Tarah Hun

    Wo Kabhi Kabhi Mujhy Daikhney Ko Aata Hai…
    03457327677

  47. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 11:52 صبح

    ,,,Yun Tou Har Rang Ka Mausam Mujh Se Waqif Hy Magar,,,

    ,,,Raat ki Tanhai Mujhy Kuch Alag Hi Janti Hy,,,
    03457327677

  48. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 11:49 صبح

    Na Men Kaneez_e_Badshah
    Na men Muhabbat_e_
    Saleem

    Phir B Mere Naseeb men
    Deewar Q..? Darrar Q…?
    03457327677

  49. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 11:45 صبح

    Khudkushi Jab Haraam Hai Tou Phir
    Kis Lye Loog “ISHQ” Kartay Hain ?
    03457327677

  50. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 11:45 صبح

    Kitna khush hoon dar-o-deewar ki veerani se,
    Is ka matlab hai yahan se mera ghar door nahin..
    03457327677

  51. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 11:43 صبح

    Uss ki yaadon ke saharey kar raha hoon zindagi,
    Jo mujhe Waasiq milta tha, ik safar ki raat mein..
    03457327677

  52. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 11:38 صبح

    Jism se khoon nichorr leta hai,
    Ishq jab hijar ourrh leta hai …
    03457327677

  53. zahid said,

    دسمبر 3, 2012 بوقت: 10:52 صبح

    Kuch na hua haasil humain,
    Aik muddat tere deewaney rahe..
    03457327677

  54. AiK JhooT AuR SaHi said,

    اکتوبر 16, 2012 بوقت: 11:39 صبح

    Kat Hi Gayi Judaai Bhi Kab Yun Hua Ke Mar Gaye,
    Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye..

    Tu Bhi Kuch Aur Aur Hai Ham Bhi Kuch Aur Aur Hain,
    Jaane Wo Tu Kidhar Gaya Jaane Wo Ham Kidhar Gaye..

    Raahon Mein Hi Mile The Ham Raahe Naseeb Ban Gayi,
    Tu Bhi Na Apne Ghar Gaya Ham Bhi Na Apne Ghar Gaye..

    Tere Liye Chale The Ham Tere Liye Thahar Gaye,
    Tu Ne Kaha To Jee Uthe Tu Ne Kaha To Mar Gaye….

  55. AiK JhooT AuR SaHi said,

    اکتوبر 16, 2012 بوقت: 11:38 صبح

    Honsle zindagi ke dekhte hain,
    Chaliye kuch roz jee ke dekhte hain..

    Neend pichhli sadi se zakhmi hai,
    Khwaab agli sadi ke dekhte hain..

    Taktaki baandh lee hai aankhon ne,
    Raaste waapsi ke dekhte hain..

    Baarishon se to pyaas bujhti nahi,
    Aaiye zehar pee ke dekhte hain

  56. AiK JhooT AuR SaHi said,

    اکتوبر 16, 2012 بوقت: 11:37 صبح

    Main jab chaloon to ye daulat bhi saath rakh dena,
    Mere buzurg mere sar pe haath rakh dena…..

    Dhalega din to sulagne lagega dil mera,
    Mujhe bhi ghar ke chiragon ke saath rakh dena…..

    Ye aane wale zamano ke kaam aayenge,
    Kahin chhupa ke mere tajurbat rakh dena…..

    Kisi bahane khuda yaad aaye logon ko,

    Gali ke mod pe kuchh wardaat rakh dena….

    Khilegi dhoop to jugnu bhi muskurayenge,
    Kisi bhi dhoop ki tehni pe raat rakh dena……


Leave a reply to Tabasum (@Tabasum5) جواب منسوخ کریں