Top Commenters of Urdu Poetry Blog – 2011 in review


Saal 2011 kay Top Commenter mandarjazail hain :

Our most commented on post in 2011 was Noshi Gilani Poetry Ghazals Shayari

These were your 5 most active commenters of 2011:

Perhaps you could follow their blog, Facebook or twitter send them a thank you note?

The WordPress.com stats helper monkeys prepared a 2011 annual report for our blog.

Here’s an excerpt:

London Olympic Stadium holds 80,000 people. This blog was viewed about 500,000 times in 2011. If it were competing at London Olympic Stadium, it would take about 6 sold-out events for that many people to see it.

Click here to see the complete report.

Bundles of Thanks for your support 🙂

Keep it up…

8,056 تبصرے

  1. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 11:04 صبح

    meri muthi main sookhay howay phool hain
    hooshbo ko uraa kar hawa lagayee

    main samndar ka seena ma chatan tha
    raat ek moj aaye bahar la gayee

    hum to kaghaz thay askoon sa bheegay hua
    kion charaaghoon ko loo tak hawa la gayee

  2. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 11:02 صبح

    koi haath nahi khaali hai
    baba ya nagree kaisi hai

    koi kisi ka dard na janay
    sab ko apni apni paree hai

    is ka bhi kuch haq hai aakhir
    is na mujh sa nafrat ki hai

    phool dawa jaisay mehak hain
    kisi bemar ki subah hui hai

    kaisay katay ki tanhaa tanhaa
    itni saree umr paree hai

    hum donon ki khoob nibhay gi
    main bhi dukhi hn wo bhi dukhi hai

    ab gham sa kia naata torrain
    zaalim bachpan kaa saathi hai

    dl ki haamooshi par na jao
    raakh k neechay aag dabi hai

  3. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:59 صبح

    Ye Dil Bhulaata Nahe Hai Mohabbatain Uski
    Pai Howi Theen Mujhe Kitni Aadatain Uski

    Ye Mera Saara Safar Oski Khushbuu Mein Kata
    Mujhe Tou Raah Dikhaati Theen Chaahatain Uski

    Ghiri Howi Hun Mein Chehron Ki Bheer Mein Laikin
    Kaheen Nazar Nahee Aati Shabaahatain Uski

    Mein Dard Se Ronay Lagi Hun Tou Aisa Lagta Hai
    Ke Chhaon Jaisi Theen Mujh Par Rafaqatain Uski

    Ye Kis Gali Mein Ye Kis Sheher Mein Nikal Aaye
    Kahan Pe Reh Gayein Loogon Sadaaqatain Uski?

    Mein Baarishon Mein Juda Ho Gayi Hun Os Se Magar
    Ye Mera Dil, Meri Saansain Amaanatain Uski

  4. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:56 صبح

    Mai din ho meri jabben par dukhon ka suraj hy
    Diye tu raat ki palkon par jhilmiltay hay

    ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

    Khosha ye qadar tu hy us udas nasal ke pass
    Udas bhi jo na hon gy wo loog aty hay

  5. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:53 صبح

    Sahil pay ruk gy thy zara dair ke lieye
    ankhon sy dil mai kitny samundar utar gy

    Jin par liki hoi thi mohabt ki dastan
    wo chak chak purzy hawa mai bikhar gy

    Paya jo muskuraty howay keh uthi bahar
    jo zakham pichly sal lagaey thy bhar gy

  6. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:50 صبح

    Zameen sy anch zameen tord kar nikalti hy
    ajab tashnagi en badlon sy barasti hy

    Hamary ehad mai nayab hy bachaey raho
    tumhari aknh mai ek cheez jo chamakti hy

    Siron pay dhoop ki ghardi uthay phirty hay
    dilon mai jin ki bardi sard raat hoti hy

    Khardy khardy mai safar kar raha ho barso sy
    zameen aon ke nechy kaha teharti hy

    Hawa ke ankh nai,hat or paon nahi
    esi lieye wo sabhi raston pay chalti hy

  7. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:46 صبح

    Tuje udas bi karna tha khud bi rona tha..
    ye haadsa bi meri jaan kabhi to hona tha..

    Woh muje torr ke phir jorta raha aksar..
    main uske waaste jaise koi khilona tha..

    Humen kahin na kahin to bichar hi jana tha
    yei haadsa meri zindagi mei aana tha

    Woh shaks mujhe saari umar tarse ga..
    Naseeb uska “ke usne muje ganwana tha”

  8. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:44 صبح

    Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain
    Sach ye bhe hay sar paiy meray ilzaam bohat hain

    Main dhoondta phirta hon jisay koocha ba koocha
    Iss naam k insaan yahan aam bohat hain

    Ab chahnay saiy milti hay mohobat kahan aisay
    Bazaar main iss shay k ab daam bohat hain

    Taareef kron teri mohobat ke zaban main
    Gulshan main teri khushboo ke iqsaam bohat hain

    Laina hay mujhay kiya teri duniya-o-jahan saiy
    Dil main teri yaadon k sobha shaam bohat hain

    Jaanum teri duniya main nehi milti rafaaqat
    Keh dau k siwa wasl k anjaam bohat hain

    Na cheez naiy iss cheez ko kiya cheez haiy sumjha
    Iss lafz-e-mohobat main aalaam bohat hain

    Maayal haiy Shaukat zindagi anjaam ke jaanib
    Chal rukk k zara tou abhi inaam bohat hain

    by Shaukat Ali Khan

  9. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:41 صبح

    Barish Hai Aansu’on Ki Zameen Per Jhari Hui
    Phir Bhi Hai Dil Main Dard Ki Naddi Charhi Hui

    Baaqi Tamaam Umrr Bichhernay Ki Baat Thi
    Milnay Ki Guftugu To Ghari Do Ghari Hui

    Ye Raah To Chuni Thi Judai Ke Waastay
    Ye Aarzu-e-Wasl Kahan Aa Khari Hui

    Ye Raah Ki Nahi Ye Muqaddar Ki Baat Hai
    Manzil Chuni Hai Jo Wohi Manzil Kari Hui

    Sun To Sahi Hawa-e-Khizaan, Dekh To Sahi
    Kia Keh Rahi Hai Phool Ki Patti Jhari Hui

    Saw Saal Bhi To Lamha’ba’lamha Baray Huay
    Ye Umrr Iss Tarah Bhi Ghari Ki Ghari Hui

    Ek Pal Main Jo Hai Doosray Pal Main Nahi Hai Wo
    Her Ek Ghari Main Umrr Zara Si Bari Hui

    Pehlay He Kohnagi Ko Chhupana Muhaal Tha
    Ek Saal Aur Umrr Hamari Bari Hui

    Taray Falak Pe Aankh Main Aansu Wisaal Ke
    Ye Raat Motion Se Hai Saari Jari Hui

    Iss Ke Leay To Raah-e-Wafa Chaheay Adeem
    Her Raah Main Nahi Hai Muhabbat Pari Hui

    Kis Ki Majaal Arz-o-Samaan Ko Hila Sakay
    Jo Cheez Jis Jaga Thi Waheen Hai Pari Hui

    Zoq-e-Sukhan Ye Naaz Yunhi To Nahi Adeem
    Hum ne Bhi Meerza Ki Ghazal Hai Pari Hui

    Nazrain Pari Zara Si Teri Kainaat Per
    Dekhi, Bina Bagher Imaarat Khari Hui

    Aadam Hai Aik, Nau-e-Bashar Mukhtalif Adeem
    Sachi Hai Baat Phir Bhi Lagi Hai Ghari Hui

    Adeem hashmi

  10. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:40 صبح

    Kehney ko to sub mere apne hain

    Par kash koi aeysa hota jisey mere dard sy Takleef hoti

    Kash koi ek to apna hota……………

  11. shaista said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 10:36 صبح

    Aslam-o-Alikum

    Mujhe bhi Yaad Rakhna jab Likho Tareekh-e-Wafa
    "GHALIB”
    K Men ne bhi Lutaya hai kisi ki Mohabbat men Sukoon Apna

  12. asim murtaza said,

    فروری 16, 2012 بوقت: 9:55 صبح

    aslam-u-alikum

    Jaisa amal karo gay,
    wesi he aadat pare gi.

    Jaisi aadat hogi,
    wesi seerat hogi.

    or

    Jaisi seerat hogi,
    wesi qismat paao ge.

    (Hazrat Ali, (R.A))

  13. asim murtaza said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 11:52 شام

    nigha e qais se dakhu hmsha laila ku……

    .sanam tu jis ka bhi ho bymesaal hta ha…

  14. asim murtaza said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 11:50 شام

    Aghaz-E-Ishq Jab Tera Anjaam Aay Ga
    Kia Kia Na Apni Zaat Par Ilzaam Aay Ga

    Kesi Aziyaton Se Guzar Jaay Ga Ye Dil
    Kis Dukh Se Mere Lub Pay Tera Naam Aay Ga

    Jaa Tho Raha Hai Dil Tere Iqraar Ki Taraf
    Main Jaanta Hoon Lout Key Na-Kaam Aay Ga

    Honton Ka Lamas De Key Mujeh Os Ny Ye Kaha
    Lay Jaa Ise’ Safar Mein Tere Kaam Aay Ga

    Jub Mustjaab Hoga Duaon Ka Silsila
    Ik Aur Dasht-E-Hijr Mere Naam Aay Ga!

  15. asim murtaza said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 11:48 شام

    Wo Ek Shab Jali Tou Usay SHAMMA Keh Dia

    Hum Barson Se Jal Rahe Hyn Koi Tou Khitaab Do ?

  16. asim murtaza said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 11:47 شام

    Shab~e~wesal hai gul kar do in choraghoon ko ……////

    Khushi ki bazam main kiya kaam jalne waloon ka ,,,,,,,,!

  17. asim murtaza said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 11:42 شام

    Nafrato’n k tamacho’n ne mujy diya hai ye sabaq.. ..

    Azeem jurm hai insan ka insan se mohabbat krna..

  18. asim murtaza said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 11:41 شام

    Hum tujh se alag reh kar bhi rehte hain tere pass,

    Hote hain teri bazam me hote hain jahan bhi.

  19. asim murtaza said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 11:40 شام

    ♥”Baaz Aa Jao Tagaaful Sy Mery Ham Dam Warna

    Ahl-E-Dil Aksar Jisy Bhol Jaty Hen, Usy Bhol Jaty Hen

  20. asim murtaza said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 11:38 شام

    aslam-u-alikum
    Jaa TuJhe Tere Haal Pe Chora,

    IS Se BehTer Teri Saza Bhi Kaa Hai !!!

  21. JUGNU said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 9:00 شام

    Tabasum ji kam se kam mujhe ap se aisi koi tawaqa nahi thi
    k ap waseem ji k kahe hue baton par imaan le ai ge……….or waseem ji ap ko kya hua ap ko to nayyar ji kuch ziyada hi aziz the ap ne to
    apni ek post me ye bhi kaha tha na k bhai ap ka ye bhai hamesha bhai
    rahe ga ……………or ye kese dost ho ap sub ek doosre k or ye kesi dosti thehri yaha to sub apne hi soch par chalte hain
    koi kisi ke jazbat ki parwah or qadar.nahi karta………….!!!

    • فروری 15, 2012 بوقت: 9:08 شام

      jugnu sister

      aap nahi janti k nayyar ji ki soch kesi hai .aur rahi baat k main ne post main kaha tha k nayyar bhai hamesha bhai rahe gay . to main ne to bhai hi banaya tha un ko aur respecrt hi karta raha end tak un ki . par asliyat ka ab pata chala na k log kis tarah kisi k jazbaaat se khelte hai . khair aap ko shayed samjh na aye kiu k aap ko sab bato ka ilam nahi hai

    • فروری 16, 2012 بوقت: 4:09 شام

      Salam Jugnu sister
      pehly tu main sorry karta hoon ap se k meri post se apko dukh hoa.main aisa nahi nahi k aik daam se kis k barey main manfi soch kar loon.Jugnu sister meri sub old post read kar lein kis k main ney aisi baat nahi kehi k un k dil ko dukh dey,main her bar Naayar bhai ko apne sath chalany ki offer karta raha,old baatoon ko bhool jao ap,new life start karo,but ap k samney hai jo ho raha hai,ap muje aik baat batao k jub ap kis sey baat nahi karna chahti,ap apni post mein us k liye dua k elawa kuch nahi send karti kuch jock nahi karti ,or wo ap ko post send kary ap usko reply karo gi,short mein kehta hoon ap apne apko diya sister ki jagha rakh kar socho.aisi post send kartey hain bahi behnoo ko,
      bhai apni sister ko happy dekhna chahtey hain wo jahan b ho,happy rahey ap meri is baat se tu agrey hain na,Imaan sister or shanze sister k janey k baad Diya sister ney is page ko happy rahaney k jocking karna start kr di,is se pehly kabi us ney itni post send ki nahi…………………………….
      itna jock kiya nahi………………….
      ap ne note kiya ho ga…
      Lakin bhai nayyar us ko b aik ajeeb nazar se dekh rahey hain,k wo un k elwah oroo se happy baat karti hain,or mery sath nahi,,
      wo ye kiu nahi sochtey k muje se aisa kay hoa k wo muje se baat kiu nahi karti,,,,,,,, un ko sochna chahiye na..
      mana k un ney sorry kar li hai,but ye agley k marzi hoti hai k wo us ko maaf kar dey or baat kary,or rahi baat sister un ko bhai manaey ki tu un k aj b maqam hai dil mein,mein respect karta hoon wo barey hain main aj 3rd time un se aisi baat kar raha hoon,nut ye kahi nahi likha k barey ghalti nahi karty,or agar friend thorah rastey sey haat jaye tu sister un ko thorah samjana parta hai na,un ney tu is family or is page par LANAAT baji.is page ko Darama k naam diy.or ab …………..
      chado jee..
      but jugnu sister main ap se again sorry karta hoon,k meri baatoon ney apk dil ko dukh diya,muje sub k jazbat ki qadar hai,but dosary ko b tu honi chahiye na,ab ap meri old post read kr loon or un ki or diya ko b jo send ki hain,phir ap khud fasly karna k kis ki kitni ghalti hai,main ye nahi kehta k meri ghalti nahi haan pehly ghalti meri nahi main tu un ko haath milany k liye bohat kaha,but wo tu patha hain na,,,,or sister main kis k baat ko suna kar fasly nahi karta,jazbati fasly bad mein bohat takleef detey hain,

      muje apk reply ka wait rahey ga Jugnu sister,
      Allah ap ko hamesha khush rakhey,koi dukh ki hawa na lagye,
      apka daam khushiyaan sey hamesha barah rahey.
      Allah Hafiz

  22. فروری 15, 2012 بوقت: 8:06 شام

    Aisi Aankhen Nahin Dekhi
    Aisi Aankhen Nahin Dekhi
    Aisa Kajal Nahin Dekha
    Aisa Jalwa Nahin Dekha
    Aisa Chehra Nahin Dekha

    Jab Yeh Daaman Ki Hawan De
    Aag Jungle Mein Laga De
    Jab Yeh Sehrao Mein Jaaye
    Ret Mein Phool Khilaye
    Aisi Duniya Nahin Dekhi
    Aisa Manzar Nahi Dekhi
    Aisa Aalam Nahi Dekha
    Aisa Dilbar Nahin Dekha

    Uske Kangan Ka Khanakna
    Jaise Bulbul Ka Chehakna
    Uske Pazeb Ki Cham Cham
    Jaise Barsaat Ka Mausam

    Aisa Sawan Nahi Dekha
    Aisi Baarish Nahi Dekhi
    Aisi Rimjhim Nahin Dekhi
    Aisi Khwahish Nahi Dekhi

    Uski Bebaak Se Baatein
    Jaise Sardi Ki Ho Raatein
    Uff Yeh Tanhai Yeh Masti
    Jaise Toofan Mein Kashti

    Milti Koyal Si Hai Boli
    Jaise Geeton Ki Rangoli
    Sukh Gaalon Pe Pasina
    Jaise Phagun Ka Mahina

    Aisi Ankhen Nahi Dekhi
    Aisa Kajal Nahi Dekha
    Aisa Jalwa Nahi Dekha
    Aisa Chehra Nahi Dekha

  23. فروری 15, 2012 بوقت: 8:00 شام

    Salam to all family
    kay hall hai sub ka,theik shiek hai na,
    Asim bhai se start karey hain,Haan jee asim bhai kay ho raha hai jee,sub theik hai na,ap k latifey k liye main b beitha hoon aj.ho jaye bhai,
    or schlor bhai ap kasey hain kasa ja raha hai kaam shaam ,ap ka link dekha bohat acha laga,thanks,or bhai sorry ap ko pata hai baat,
    waseen bhai apki poetry bohat achi thi,good main apki post ka wait kar raha hoon,send more poetry bhai,hum se tu na rotho na jee.
    shaista ap kasi hain sister.apki poetry bohay achi hai.ab aphi tu is page per humeri sister hain,humeri baki sister tu apni life mein masroof hoti ja rahi hain,main janta hoon ap b busy hoti hoon gyi,but ap humery sath rahoo.Imaan sister b lout kar ayein,gi.shanze sister ko b jub time mily ga wo b is page per aye gyi,baki amir bahi b busy hain study mein,or Jungu sister b itna nahi bolti hain,Aliza b tu hum se baat nahi karti,or rahi Diya tu us ko tu waseem bhai ne rok diya hain,bhai hain kuch theik hi socha ho ga un ney,but waseem bhai aik baat ap se kahoon ga shaid Diya hum bhaioon ko happy rakhey k liye ati hain.shaid ab apki baat tu maan kar wo is page per post send nahi karein gi but hum ney un k dil ka socha hi nahi,shaid wo hum ko happy rakhney k liye post send karna chahti hoon.kahein hum ney un k haath tu nahi baand diye,hum ney jis ko reply karna nahi hai tu us ki post aye ya na ye is se koi faraq nahi parta.
    baki sub apna bohat khayal rakhna,or kis ko meri baat bhori lagi ho tu main sorry karta hoon ,Allah Hafiz

  24. فروری 15, 2012 بوقت: 1:04 شام

    Aslamoalikum
    aaj jo main yaha par tahreer karne laga houn . shyed sab ki samajh main na Aa paye

    par jis ko main samjhana chahta houn woh zaroor samajh jaye ga.
    Nayyar bhai aap ko muhatib kar raha houn aap jese b ho.. ho gay .mujhe us se kuch lena dena nahi hai . par aap ki soch se mujhe ghin ati hai . aaj b aap se baat ki main ne aur aap ko respect hi di aur eak bhai ki tarah hi paesh aya .sirf is lye k bhai ka rishta nibha janta houn main . aap b Diya ko behan mante they . mante they islye istamal kiya hai .k aap ab nahi mante agar mante hote to jo baat aap ne ki hai .woh to eak bhai nahi keh sakta aur na hi soch b sakta hai . main aap ko seedhe lafzo main kehta houn k ab DRAMA khtam kar do .aur kisi ko aap ki samajh ayi ho ya na ayi ho par main aap ko ache se samajh giya houn .AAp nafsyati mareez ho .aur sath sath dusro ko b is marz ki lat laga rahe ho .
    behtar hai k aap kinara kar jao . aap rishte nibhane ki bate to bohat karte ho par pehle yeh samjho k reshte hote kiya hai . jab tak aap ko reshto ki ahmiyat ka hi nahi pata to aap nibhao gay kiya . Aap ne bohat jhooth bole aur kaha k aap such bolte ho ab . par main janta houn k aap jhoothe hi ho .kiu k jo baat aap ne Diya sister k bare main kahi .woh such ho hi nahi sakti .aur main jhuthe bando se dosti nahi karna chahta . aur yeh jo marne mrane ki baat karte ho na aap k dill karta k kahi mar war jaoun . to mere bhai kisi peyale main pani le kar us main jhankna k aap jo ho woh dekhte ho k nahi khud hi sharam se mar jao gay . agar sharam hoi to . main janta houn k main kiya likh raha houn itna chounkne ki baat nahi hai . jis kisi ko b lagta hai k main ne galat likha hai .woh mujhe tankeed kar sakta hai .par woh pehle khud main jhanke k woh kiu nahi mehsus kar raha jo main ne dekha hai .ya mehsus kar k b ignore karte rahe .but mere se ab aur nahi raha jata .is lye bol diya sab kuch .Nayyar ji mujhe pata hai k aap baaz ane wale nahi ho .dubara se koi harkat zaroor karo gay . pehle b aap ki sab harkato se main wakif houn . is lye

    Diya sister aap ko main yeh baat saaf saaf kahe deta houn .main ne to aap ko behan dill se hi mana hai .agar aap ne b bhai dill se mana hai to .apne bhai ki baat ko dehaan se sun lo k aaj k baad aap yaha par nahi ao gi .Agar nahi raha jata to saaf saaf bol dena .

    is k ilawa main kuch nahi kahoun ga ..aap ne kaha tha k bhai kabhi galat nahi hote .,,,,,,,,,,,par ho bhai to wakye e galat nahi hote .main nahi chahta k meri behan meri baat na mane………..aur yaha par meri yeh laast post hai is k baad main yaha par nahi auon ga .yeh mera hatmi faisla hai ..aur main apnew faisle badla nahi karta . par agar kisi ko koi jawab chahye mujh se aaj ki post k bare main to main aaj yahi houn

    so bye

    • فروری 15, 2012 بوقت: 6:53 شام

      Salam Waseem bhai.
      kay hall hai,ap kahi nahi ja rehey is page ko chor kr ok
      or muje nahi lagta k ap ne kuch ghalat send nahi kiya hai.sub theik send kiya hai.plz ap kis k liye itney friend ko maat choro,bhai plz,
      socho bhai,
      apna khyal rakhna.Allah ap ko her qadaam per kaamyabiyaan ata karey,Ameen sum Ameen

      • فروری 15, 2012 بوقت: 7:06 شام

        وعليكم السلام
        جزاك الله اخو

        انا ما يبغى روح من هنا انت معلوم انا ليش روح عشان هذا نفر هذا نفر قلب ما فيه كويس

        انا معلوم هذا نفر ما فيه روح من هنا عشان انا ما يبغى زنجال عشان انا روح احسن انا كتير فكر
        هذا نفر مدري ايش يبغى ؟
        انتى قول انا ما فيه روح خلاص انا موجود على طول هنا بس هذا نفر ييجي هنا على طول زنجال بعدين مين مسؤل الحين انت فكر ايش فيه طريقه احسن

        مع السلامه

  25. shaista said,

    فروری 15, 2012 بوقت: 10:27 صبح

    ASLAM-O-ALIKUM

    Feberuary 2012 k khawateen digest k shumare men ek NOVEL hai "TOBHA” Writer by "SOFIA BASHER” aap sub is NOVEL ko i mean k jis se ho sakhe wo is NOVEL ko Read zarur kare r is NOVEL k THEM ko sumjhe.

    ALLAH HAFIZ :

  26. فروری 15, 2012 بوقت: 9:02 صبح

    Guzar Rahi Hai Zindagi Zikr e Khuda Se Ghafil

    Aye Dil e Nadaan Sambhal Jaa K Maut Ka Koyi Waqt Nahi ●

    !!…FI Amaan Allah :

  27. فروری 15, 2012 بوقت: 8:56 صبح

    Aslamoalikum

    Taqdeerain Badal Jati Hain Jab Zindagi Ka Ho Koi Maqsad

    Warna Umer Kat Hi Jati Hay Taqdeer Ko Ilzam Detay Detay

  28. فروری 14, 2012 بوقت: 10:37 شام

    Kuch Un Ki Wafaou’n Ne Loota Kuch Un Ki Enayat Maar Gayi,

    Hum Raz-E-Mohabat Keh Na Sake Chup Rehne Ki Adat Mar Gayi…

  29. فروری 14, 2012 بوقت: 10:36 شام

    Kal thaky hare parindoon ne nasihaat ki mujhe!!
    Sham ho jaye to "mohsin” tum bhi ghar jaya kro!!

  30. فروری 14, 2012 بوقت: 10:33 شام

    Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..
    Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha.
    ~~Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray…..
    Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha.

    ~~Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia…..
    ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha.
    ~~Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi……
    Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha.
    ~~Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut…..
    Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha.

  31. فروری 14, 2012 بوقت: 10:32 شام

    Tujh se barh kar koi azaab nahi.

    Aye mohabbat tera jawab nahi.

  32. فروری 14, 2012 بوقت: 10:30 شام

    Apni Har Ek Shaam, Har Ek Raat Bech Kar
    Ab Agyaa Hai Jeena Hamain Zaat Bech Kar
    Hum Bhi Kya Ajeeb Hain Ke, Karhi Dhoop Talay
    Sehra KHareed Laaye Hain, Barsaat Bech Kar..

  33. فروری 14, 2012 بوقت: 10:09 شام

    Pehlay Neend Ko Saari Raat Jgaao’nGaa
    Phhir Mein Tujhko Khawab Sy Bahir Laao’n Gaa
    Ye Jo Mujhme khawaishein Dorrti Phirti Hain
    Wahado’n Kee Zanjeer Inhein Pehnao’n Gaa
    ISHQ Sikha Dy Gaa Kuch Esa Hunar Mujhay
    Paaniyo’n Par TERI Tasveer Banao’n gaa
    Abhi To Mein Masroof Hun Zakham Shumari Mein
    Fursat Mili To Apnay Gham Ginwaao’n Gaa
    Hijar Ka Resham Boht Zayada Uljhaa Hai
    Sochta Hun Kesy Usko Suljhaao’n Gaa
    Jaagti Aankho’n To Milna NamumkinHai
    Neend Mein Chalty Chalty TUJH TakAho’n Gaa
    Ye Jo Safar Jaga Hai Ab Talwo’n Mein…..!!
    Kon See Loree Dey Kar Issay Sulaao’n Gaa…

  34. scholars said,

    فروری 14, 2012 بوقت: 9:54 شام

    Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain
    Khud Paaband Rehty Hain Usay Aazad Rakhty hain

    Humary Khoon Mei Rab Ne Yehi Taseer Rakhi hy
    Buraai Bhool Jaty Hain Achai Yaad Rakhty hain

    Mohabbt Mei Kahin Humse Gustakhi na Ho jaye
    Hum Apna har Qadam us k Qadam k Baad Rakhty hain.

  35. scholars said,

    فروری 14, 2012 بوقت: 9:54 شام

    Muhabbat Kar To Li Hum Nay,
    Muhabbat Paa Nahin Saktay..

    Bohat Kehnay Ki Khuwahish Hai,
    Magar Bataa Nahin Saktay..

    Teri Baatain, Teri Yaadain,
    Hamara Dil Dukhati Hain..

    Bohat Takleef Hoti Hay,
    Tujhay Sunaa Nahin Saktay..

    Teray Saath Chalnaa Hay,
    Teri Manzil Bhi Ban’na Hay..

    Bohat Thak Gaye Hain Hum,
    Ab Aagay Ja Nahin Saktay..

    Suno Hum Toot Jayen Gay,
    Humain Kaisay Sametto Gay..

    Ke Mar Ke Bhi Meri jaan!
    Hum Tujhe Bhula Nahin Saktay

  36. فروری 14, 2012 بوقت: 9:52 شام

    Lo ajj hum ne toor dia rishta e umeed,

    Lo abb kabhi gila na karain ge kisi se hum.

    na do choklaite aap scholar bhai :((

  37. فروری 14, 2012 بوقت: 9:49 شام

    Be-khabar be-wajah be-rukhi na kia kar
    ..Asim.
    koii toot jata ha tera lhjaa bdalny saaay..!:(((

  38. scholars said,

    فروری 14, 2012 بوقت: 9:49 شام


    aamer bhai

  39. فروری 14, 2012 بوقت: 9:47 شام

    Nayyar bhai…shanze sister and amir bhai for you

    BoHut TakLeef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna !!

    Dikhai Kuch Nahi Deta….
    Sunai Kuch Nahi Deta….

    … …Faqat Kuch Kap-Kapatey Lafz…..
    Jo Hoonton Per Theher Jayen………

    Ubharti Doobti Dharkan…..
    Usey Aawaaz Deti Hai…………

    Koi Apna Ke Jis Ka Naam Apne Dil Pe Likha Ho…..
    Ke Jis Ke Wastey Dil Se Duaein Hi Nikalti Hoon……

    BoHat TakLeef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna……..

    Jisey Dil Mein Basaya Ho….
    Barey Hi Maan Se Jiss Ko Kabhi Apna Banaya Ho…..

    BoHat TakLeef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna…….

    BoHat TakLeef Deta Hai……
    Kisi Ko Al-Vida Kehna….

  40. فروری 14, 2012 بوقت: 9:44 شام

    Guman Na Kar Keh Mujh Mai Jurat E Sawal Nahi

    Faqt Dar Yeh Hai K Tujhe Lajawab Na Kar Don

  41. scholars said,

    فروری 14, 2012 بوقت: 9:43 شام

    Kbhi Uska Chehra Gulab Hoa Krta tha
    Sb Ki Nazron Ke wo khuwaab howa Karta Tha

    Chand sitarey uske saamney Maand Partay thy
    Wo To khud Mehtaab Howa karta tha

    Lehja aisa Tha Jaisey Khilti Hoi qali
    apni Batoon Me wo La~Jawaab howa Karta Tha

    Phir youn Howa ishq ho gaya kisi Say
    Mohabbat Lafz Jis Ke liye mazaak howa Karta Tha

    Phir Tout ke bikhra Aisa Ke samal na Paya
    Wo Jo apni Misaal aap howa karta Tha

    Ab tanhai Ke Andehron Me kahein Gum Hai
    wo Aik shaks jo Aftaab howa karta Tha..!

  42. scholars said,

    فروری 14, 2012 بوقت: 9:23 شام

    salam to alllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllll

    haan g sb sy pehly to jo wada kia tha wo nibhaaun
    aj valintines day hy mai celebrate to nai krta lekin kl apko bola tha k choklate dun ga to iss day py flowr ya choklate dety hn
    flwr to murtza bhai ny ik dia tha
    mai choklate layaaa hun jis ny khana hy haath khrra kr ly
    aor tb tm kharra rakhy jb tk mai dy na dun
    szaa nai hy
    bs iss lye kaha k mujhy pta chl jaye kis kis ko leni hy aor kis kis ko mil gay hy

    diya tu ny murtza bhai ko baba bna dia abi to unn k hath b pily nai huye
    oh haath lrrkyoon k pely hoty hn chlo koi baat nai hm murtza bhai py apni rsme,n qurbaan krty hn
    aor emaan aapi ny to murtza bhai ko baba nai bola jwaab mai tm q bol rai ho kis ghm mai?
    kia hy k khushi mai to sb bolty hn na
    ya phir murtza bhai k sfaid baal nzr aa gye hn?agr haan to chupky sy bta 2 mai sb ko bta dun ga
    murtza bhai wesy mai ap k 7 hun
    aor jo song bheja hy na boht acha hy jgjeet singh ka
    v nice
    wasi bhai diya ny apko dhmki di hy k ap k 32 daaant torry gi
    dnt wrry nai torrti ap k 32 daant
    q k ap k 32 daant e nai hn
    mery b nai hn 32 daant
    chlo ab gin k btao kitny hn ta k diya ko asaani rahy dantoon ko torrny mai wesy diya wasi bhai roz brush krty hn q dant torrny hn?
    ?
    shanze apko mai day tym bhula nai tha
    jaan bhuj k apko kuch nai bola
    iss lye k tb mai jldi mai tha
    shanze gurrya

    ALLAH apko hmeshaa hush rakhy ALLAH apko meri khushyaan na dy q k meri khushyaan pta nai kitni hn
    lekin apko wo sb kuch mily jo ap k hq mai behtr hun
    kbi kbi hm aisi hushyaan b maang lety hn jo hmaary lye behtr nai hoti be shq ALLAH janta hy issi lye jo wo krta hy acha krta hy
    iss lye apki behtr aor achy nseeb ki dua hy ALLAH sy hm sb bhaai ap k 7 hn

    tabasum bhai ko bola e tha topi ka lekin unhoon ny forn samny aa k mujhy apni znbeel mai chaaati marny sy rook dia aor mai smjh gya k meri topi mery paas e hy
    jity raho tabasum bhai
    nayyar bhaai ap ny btaya nai choklate k baary mai?schi koi shrart nai krun ga
    pka hy k mai choklate bool k choklate e duun ga dekh lo wasi bhai ko socks ka bola tha socks e di wo b aik
    iss lye ghbraao nai i knw ap ghbraany waloon mai sy nai hn
    aor yeh paro chndr mukhi kissa parina ho chuky hn bhaai
    kuch nya laaty
    (‘~’)
    mai gya huun
    acha g ap sb ab haath neechy kr lo mainy gin lia hy sb ko choklate chahye
    to wait q kr rahy ho bzaar jao khrido aor khaa lo
    nai nai gussy sy mt dekho dy raha hun
    abi ap apna hyaal rakhye
    ALLAH HAFIZ
    ALLAH RAKHA

  43. فروری 14, 2012 بوقت: 8:51 شام

  44. فروری 14, 2012 بوقت: 8:41 شام

  45. فروری 14, 2012 بوقت: 8:30 شام

  46. فروری 14, 2012 بوقت: 8:21 شام

    Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
    Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

    Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
    Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
    Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

    Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
    Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
    Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

    Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi,,
    Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

  47. فروری 14, 2012 بوقت: 8:20 شام

    ~*~Hum Tu Bachpan Main Bhi Akele Thay~*~

    ~*~Sirf Dil Ki Gali Main Khaile Thay~*~

    ~*~Ek Taraf Moorchay Thay Palkoon K~*~

    ~*~Ek Taraf Ansoo K Reelay Thay~*~

    ~*~Thi Sajii Hasratain Dukanoo Par~*~

    ~*~Zindagi K Ajeeb Mele Thay~*~

    ~*~Khud Kashi Kia Dhukoo Ka Hal Banti~*~

    ~*~Mout K Apne Soo Jhamale Thay~*~

    ~*~Zehan-O-Dil Bhi Ajj Bhookay Marte Hain~*~

    ~*~Un Dino Humne Faakay Jhelay Thay~*~

  48. فروری 14, 2012 بوقت: 8:16 شام

  49. فروری 14, 2012 بوقت: 8:03 شام

    Kbi moom bn k pighal jati hain,
    Kbi suraj ki tapish se jal jati hain,

    Ye larkian kitni ajeb hoti hain,

    Sanbhal k chalen phr b phisal jati hain,

    Allah ne rkha un mein aesa hunar,

    Jis sanchay mein chaho dhal jati hain,

    Kbi zra c bat pr krleti hain ankhein num,

    To kbi pahaar se ghum pr b sanbhal jati hain,

    Itni saada k apni hi ruswai pr,

    Sabar ka tham kr daman behal jati hain.

  50. فروری 14, 2012 بوقت: 8:01 شام

    Kal raat jane kya hua kuch der pehle neend se
    Kuch aks milne agaye
    Kuch khwaab bhi toote hue
    Kuch log bhi bhoole hue
    Kuch rasta bhatki hui..
    Kuch gird men lipti hui..
    Simti hui be-rabt si sochen kayi..
    Ek shakhs ki yaaden kayi..
    Phir der tak jaaga raha..
    Sochon men gum betha raha..
    Ungli se thande farsh par
    Ik naam bas likhta raha..
    Kal raat bhi wo raat thi
    Kuch der pehle neend se…
    Men der tak rota raha !!!

  51. فروری 14, 2012 بوقت: 8:00 شام

    Puchney Waley Tujhey Kaisey Batain Aakhir…..

    Dukh Ibarat To Nahi Hai Jo Tujhey Likh Bhejein…..

    Ye Kahani Bhi Nahi Hai Jo Sunain Tujh Ko…..

    Na Koi Baat Hai Aisi K Batain Tujh Ko…..

    Zakhm Ho To Terey Nakhun K Hawaley Ker Dein…..

    Aaina Bhi To Nahi Hai K Dikhain Tujh Ko…..

    Ab Tujhey Kaisey Batain K Humey Kiya Dukh Hain…..

    Puchney Waley Tujhey Kaisey Batain Aakhir…..

  52. فروری 14, 2012 بوقت: 7:59 شام

    Ye nahi ke saare jahan men mujhe humsafar nahi mila
    Sabhi Aitabar ke sath the koi muatabar nahi mila

    Meri nabz choo ke to dekhta ke shikasta dil ki sada hai kya
    Mera la-ilaaj marz na tha, koi charagar hi nahi mila

    Kabhi sheher chaan liye gaye kahin khaimey taan liye gaye
    Jise dekhta tha men khwaab men, mujhe wo nagar hi nahi mila

    Mujhe wo makee’n hi nahi mile jinhen meri zaat se piar ho
    Jise apna ghar men samajh sakoon, mujhe aisa ghar hi nahi mila

    Raha muztarib mera shoq bhi, mera sajda karne ka zauq bhi
    Mujhe sang-e-rah to bohut mile, tera sang-e-dar nahi mila

    Sabhi apne apne giroh ke, ghum arzoo ka shikar the
    Kise men dikhata ye zakhm-e-dil, koi deeda-war hi nahi mila

  53. فروری 14, 2012 بوقت: 7:57 شام

    HAR BAAR MUJHE ~ZAKHAM-E-JUDAI~ NA DIA KAR…..

    Har Baar Mujhe Zakham-e-Judai Na Dia Kar..
    Agar Mera Nahi Mujh Ko Dikhai Na Dia Kar..

    Sach Jhoot Teri Ankh Se Hojata He Zahir,
    Qasmey Na Utha Itni Safai Na Dia Kar,…

    Maloom He Tu Rehta He Ab Mujh Se Gurezan,
    Pas Aake Muhabbat Ki Duhai Na Dia Kar…

    Ehsas Nahi Tujh Ko Agar Meri Tanhai Ka,
    Aouron Ko Bhi Tu Dars-e-Bhalai Na Dia Kar…

    Urh Jain To Phir Lout K Kab Aatain Hain,
    Har Baar Parindon Ko Rehai Na Dia Kar..

    HAR BAAR MUJHE ~ZAKHAM-E-JUDAI~ NA DIA KAR…..

  54. فروری 14, 2012 بوقت: 7:56 شام

    تیری رحمتوں کا دریا سرِ عام چل رہا ہے

    مجھے بھیک مل رہی ہے میرا کام چل رہا ہے

    میرے دل کی دھڑکنوں میں ہے شریک نام تیرا

    اسی نام کی بدولت میرا نام چل رہا ہے

    سرِ عرش نام تیرا سرِ حشر بات تیری

    کہیں بات چل رہی ہے کہیں نام چل رہا ہے

    اسے پوجتی ہے دنیا اسے ڈھونڈتی ہے منزل

    رہ عشق مصطفی پہ جو غلام چل رہا ہے

    میرے دامن گدائی میں ہے بھیک مصطفیٰ کی

    اسی بھیک پر تو قاسم میرا کام چل رہا ہے


Leave a Reply / Ap ka pegham