Urdu Poetry 2012 in review & 5 Most Active Commenters

The WordPress.com stats helper monkeys prepared a 2012 annual report for this blog.

Here’s an excerpt:

About 55,000 tourists visit Liechtenstein every year. This blog was viewed about 680,000 times in 2012. If it were Liechtenstein, it would take about 12 years for that many people to see it. Your blog had more visits than a small country in Europe!

 

These were your 5 most active commenters:

  • 1 Tabasum (@Tabasum5) 2104 comments
  • 2 AiK JhooT AuR SaHi 1716 comments
  • 3 shaista 802 comments
  • 4 DiYa SwEwTi HeRe 756 comments
  • 5 murtaza5232 638 comments

🙂

Click here to see the complete report.

You prefer to read Urdu Poetry in … Poll

 

 

Comments are also welcomed

Ap ki raye..! Your Suggestions…

Urdu Poetry Blog kay bary main ap ki raye bohat qeemti hain, bara-e mhrbani humain apni qeeemti aara or masawaroun sy agah karain

Ap neechy diyay gaye comment form sy apni raye ka izhar kr sakty hain …

Humain apki qeemti tanqeed / taseh ko kushamdeed khty hain …

Shukria, Read the rest of this entry »

Best Jokes Urdu & Lataif and lateefay

* maan pehli bar apne bete ko school chorne gai to master se kehne lagi.mera bacha bohot darpok or nazuk mazaj hay ap ise kabi marye ga nahi.agar yeh shararat kare ya sabak yaad na kare to ap is ke samne kisi dosre bachy ko pet dalein.is se hi ye dar jaye ga.

* mmajistrate: chor se tum ne yeh cycle kune chorai?
* mulzim: hazoor ye cycle muje kabristan main pari hoi mili.main ye samja ke is ka malik mar gya hay.

* aik admi ghabraya hoa doctor ke pas aya,kehne laga.doctor sahab gazab ho gya humare nanne mian ne petrol pee liyaab halat ye hay ke pure ghar main dhorta phirta hay. doctor sahab ne nihayat itmanan se jawab diya.ghabrao nahi makan ke darwaze band kar dojab petrol khatam ho jaye ga nanne mian khud hi ruk jayein gain.

* bab:beta!agar tum mehnat karo ge to tumhari shohrat dunya ke charo kono main pehl jaye gi.beta:lekin master sahab to keh rehy the ke zamin gol hay.

* ustaad bato 1974 main kon sa bara wakya pash aya? shagird: janab is din mera bara bhai peda hoa tha.

* aik salesmen cricket ka bohot shokin tha.aik dafa woh dor daraz aik kasbe main gya to is ne makami dokan dar se pucha,yahan koi team bhi hay? bilkul hay kal match bhi khele gi,dokan dar ne jawab diya. muje bhi khela lein gain woh log?salesmen ne phir kaha. zaror khelain gain kal medan main aa jana,dokandar ne jawab diya.salesmen ne dokan dar se mukamal kit kheridi or agle roz woh nai kit pehn kar medan main aa pohncha,dokandar bhi wahin majood tha.kesa lag raha hun?sales men ne dokandar se pocha. jach rehy ho dokan dar ne jawab diya.lekin match to football ka hay.

Usraad bache se tumhare walid ka kya naam hay? Bacha janab bijli din. Ustaad, bijli din yeh kesa naam hay? Bacha janab pehly un ka naam chrag din tha.lekin jab se science ne taraki ki haytab se unho ne apna naam bijli din rakh diya hay.

Ustaad shagird se:koi masal do ke sardion main cheezein sokarti hain or garmi main pehlti hain? Shagird ……. janab garmion main chotian phel kar dhai mehene ki oe sarion main sukar kar 15 din ki ho jati hain.

Nanne Raju se baab ne pocha,Raju …….Allah ne hum ko beat kune diya hay. Nanna jo masomiat se bola nikar bandane ke liye.

Mele main aik bacha apni maan se bechar gya.us ne aik sapahi ko rok kar pocha. Kya ap ne meri ammi ko bachy ke bager kahin jate dekha hay?

Molvi sahab (bache se) “parho beta h se halwa han shabash halaq se nikalo”. Bache ki maan ne andar se ghabra ke kaha”molvi sahab! Aap bache ke halaq se halwa na nikalwayen main or bana deti hun.

Ustaad”Akbar kab peda hoa or kab wafat pai?” Shagird”muje nahi pata”. Ustaad “apni tarekh ki katab main dekho”. Shagird”1605-1549”. Ustaad “tum ne ye pehly kune nahi parha” Shagird”main samja ke ye in ka telephonr number hay”

Aik makha or makhi film dekh kar canema se bahir aye.thori or dor pedal chalne ke bad makha ne makhi se pocha. Begam”pedal chalein ya kuta kar lain.

Aik kanjoos admi ne apne bachon se kaha. “jo raat ka khana nahi khaye ga main us ko 1 ropya dun ga” sab bache 1 rope ki khatar bhoke so gye. Subha naste ke waqt in ke baab ne sab ko aik aik ropya diya or phir bole “nashta is ko mile ga jo aik ropya wapis kare ga.

Nakho ka doctor marez ko ate dekh kar bola. “who aap ki nazar wakein kharab hay” magar ap ko kese pata chala?”marez heran ho kar boladoctor ne sakoon se jawab diya.Kune ke aap darwaze ki jaga kherki se andar aye hain.

Aik bekari dono hathon main kashkol uthaye bheek mang raha tha. Aik admi ne pocha”baba ye dono hathon main kashkol kun utha rakhein hain”. Fakir ne kaha”barte hoye karobar ki waja se main ne aik oe branch khol li hay”

Zehni amraz ke hospital main aik marez ko ruksat karte hoye doctor ne kaha. “aap humare alaj se sehatyab ho gain hain umeed hay ke aap ab to humhare bil ada kar dein gain?” marez ne shayana lehje main bola”kune nahi agar hum ne tumhara chand lakh ka hakir bill ada na kiya to humhein Akbar Badshah kun kehy ga.

Aik Tajar (dosre se) “ye dekhein ….. aap ka beta meri chawal ki borion se chawal nikal kar apni borion main bhar raha hay. Dosra tajar”who zara pagal hay”. Pehla tajar”agar pagal hay to apni borion se chawal nikal kar apni borian kune nahi bharta?” Dosra tajar ab who itna pagal bhi nahi hay.

Aik bacha jaldi se ghar dakhal hoa or bulb par apne baap ka naam likh kar bulb jala diya. Maan ne pocha.”beta ye kya kar rehy ho?” Bache ne kaha,baap ka naam rosan kar raha hun.

Abu ……Abu hum bhi chacha jaan ke sath hospital jayein gain.bacho ne zid ki. Aary tum wahan kya karo ge aba jaan ne pocha. Bachy bole aba jaan hum chahca jan ko rote hoye dekhein gain.

Ustaad(shagird se)main ne tum ko tarekh yaad karne ke liye kaha tha. Kya sab ne tarekh yaad ki hay? Sab sharidon ne jee ki awaz lagai . Acha tum batao sakeeb. Sakeeb bola”janab aj jauray ki 10 tarekh or 2008 hay

Aik bache ne dosre bache se pocha. Toto mian kya tum ne meri billi dekhi. Toto ! tumhari billi ki kya nashani hay?. Pehla bacha:meri billi miaon miaon karti hay.

Uataad: MBBS Shagird:mian bewi bachon samed.

Baap bete se dekho hamesha baron ki izat kiya karo. Beta:aba jaan isi liye to main ne master sahab ke sawal ka jawab nahi diya or unho ne muje class se nikal diya.

Aik admi ne chingchi ke driver se kaha station ke kitne paise lo ge? Driver:bhai sahab station meri malkiat nahi jo main is ke paise lun.

Baap bete se dekho Amir………tumhari lekhai bohot kharab hay.apni lekhai khush khat karo. Amir…….s.aba jaan bhala muje is ki kya zarorat haymain to bara ho kar doctor bana chahta hun.

Maan ne bete se kaha,mere chand khana kha lo. Beta,main abu ke sath khaon ga. Maan:tumhare abu showa hain jo in ke sayh roti khao ge.

Ahmad Faraz Urdu Poetry SMS Messages & Faraz Funny Self Made SMS

Collection Of Graeat Urdu Poet Ahmad Faraz SMS Messages, Faraz Urdu Poetry also Faraz Funny Self Made SMS & Urdu Shayari SMS..


Main Ne Yeh Soch Ker Tasbhi He Tor Di Faraz…..!

Kia Gin Gin Ker Mango Us Se Jo Behisab Deta Hai…..

=

Haseen Yadoon K Kuch MauSaM Ussey Arsaal Krney Hein FARAZ!

SuNa Hai Shub Ko Tanhai Ussey Soney Nahi Deti.~!

=

Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz

Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath …

=

Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe Faraz

Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Thay …

=

Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai’n Kisi Ko Faraz

Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro’n Duao’n K Baad

=

Dil K Rishto’n Ki Nazaka wo Kia Janey ‘Faraz’

Naram Lafzo’n Se Bhi Lag Jati Hyn Chotai’n Aksar

=

Us Ne Mujhe Chhor Dia To Kia Hua Faraz…

Meine B To Chora Tha Sara Zamana Us K Liye…

=

Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,

Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye,
Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,

Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,
Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera,

Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,
Hum to andhere main sonay k aadi they,

Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.
Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz!

Mar gaye hain to ab qabar pe aansu

=

Very Last Ghazal Of Ahmed Faraz

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari

Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass

Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans

Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi

=

Wo Dhoondte Rahay Hame Idhar Udhar Shayad Unhe Hamari Taalash thi,

FARAZ

Par Afsoos Jis Qabar ParThay Qadam Unk Usi Mein Humari Laash Thi

=

main simtnay k liye hr bar tum se milta hon fraz ….

tum se milta hon to kuch or bikhar jata hon

=

‘Taash Ke Paton ki Manind hai Zindage Meri..

~.FARAZ .~

‘Jis Kisi ne bhi Khela Taqseem Kar Diya Mujhey..!

=
Funny

Urdu, Pushto Or Chinese Sher K Baad Ab Ek Hindi Sher

Chintit Hun Ma K Is Prem Ma Kitni Durghatna Hy FARAZ.

Is Chinta Ki Vivastha Liay Ma Suargvasi Ho Chala 🙂

=

Barae Meherbani Dawaen Bachon Ki Phonch Se Door Rakhen

FARAZZ

Ziyada Tabiyat Kharab Ho To Doctor Se Rujuh Karen
=

Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga

paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun – Parveen Shakir

Poet: Parveen Shakir
paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun

dast-bastaa shahar me.n khole merii zanjiir kaun 


[rihaa_ii = freedom; tadabiir = solution/way]

[dast-bastaa = tied hands]


meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le

kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun 


[munsif = judge; fard-e-jurm = tale of guilt]

[tahariir = writing]


aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai

aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun


[taaziir = punishment]


niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n

Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun 


[ahad = era/times]


ret abhii pichhale makaano.n kii na vaapas aa_ii thii

phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun 


[lab-e-saahil = on the shoreline; taamiir = construct]


saare rishte hijrato.n me.n saath dete hai.n to phir

shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun 


merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne

beridaa_ii ko merii phir de gayaa tashahiir kaun 


dushmano.n ke saath mere dost bhii aazaad hai.n

dekhanaa hai khe.nchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun

A good urdu poetry Collection !

Hi Readers,

 HERE

http://poetry.urdustuff.com

 A good urdu poetry Collection !

Urdu News

Free daily update news at

 http://www.urdustuff.com

best news site i found

mayassar ho jo lamhaa dekhane ko

mayassar ho jo lamhaa dekhane ko

mayassar ho jo lamhaa dekhane ko kitaabo.n me.n hai kyaa kyaa dekhane ko
  [mayassar = possible/to get; lamhaa = moment]
hazaaro.n qadd-e-aadam aa_iine.n hai.n magar tarasoge cheharaa dekhane ko
  [qadd-e-aadam = length of man] [qadd-e-aadam aa_iinaa = full length mirror]
 abhii hai.n kuchh puraanii yaadagaare.n tum aanaa shahar meraa dekhane ko  havaa se hii sahii khulataa thaa aksar mujhe bhii ik dariichaa dekhane ko
 [aksar = often; dariichaa = window]  abhii shaaKho.n pe hai.n kuchh phuul "Azhar"

mujhe kaa.NTo.n me.n uljhaa dekhane ko [shaaKh = branch]


				

aashiqii be-dilii se mushkil hai – Ahmed Faraz

aashiqii be-dilii se mushkil hai

aashiqii be-dilii se mushkil hai 
phir muhabbat usii se mushkil hai 

ishq aaGaaz hii se mushkil hai 
sabr karanaa abhii se mushkil hai 

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye 
dushmanii dostii se mushkil hai 

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n 
bevafaa_ii usii se mushkil hai 

ek do duusare se sahel na jaan 
har ko_ii har kisii se mushkil hai 

[sahel=approachable] 

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar 
vaapasii us galii se mushkil hai 

Contributed by Abida Sultan

« Older entries