More from Ahmed Faraz Shayari Collection


Raazdaro se bachkar chalta hoon
ghamghusaaron se bachkar chalta hoon
mujhko dhoka diya sahaaron ne
ab sahaaron se bachkar chalta hoon
==

shab-e-gham ki seher nahih hoti
ho bhi to mere ghar nahin hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab-e-gham mukhtasar nahin hoti
==
maine masoom baharon mein tumhe dekha hai
main puurnoor sitaron mein tumhe dekha hai
mere mehboob tere parda nasheeni ki kassam
main ashqon ki kataroon mein tumhe dekha hai
Aashiqui be dili se mushkil hai Ahmed Faraz


Aashiqui be dili se mushkil hai
Phir mohabbat usi se mushkil hai

Ishq aagaaz hi se mushkil hai
Sabr karna abhi se mushkil hai

Hum Aasaan hain aur humare liye
Dushmani dosti se mushkil hai

Jis ko sab bewafa samajhate hon
Bewafaai usi se mushkil hai

Ek ko dusre se sahel na jaan
Har koi har kisi se mushkil hai

Tu bazid hai to jaa ‘faraz’ magar
Vaapasi us gali se mushkil hai

ahmad faraz poetry

128 تبصرے

  1. Jameel Buzdar said,

    اکتوبر 11, 2016 بوقت: 4:00 شام

    ya sham kitnie udas hay jana
    tarie yad hamary pas hay jana

    Lot aana mumkin nae phr bhi
    tary lot aana kye aas hay jana

    saqi kye ba r\ukhie main phr wo
    ek jam khas hay jana

    ya rat kab sa sath hay apna
    sitarun ko shiad ahsas hay jana

  2. Anaya said,

    اپریل 22, 2014 بوقت: 8:03 صبح

    Tere Paas Se Jo Guzre,
    Bekhudi Me The ‘Faraz’,,
    Thodi Door Ja Ke Sambhle,
    Tujhe Yaad Kar Ke Roye..
    .
    By: Ahmad Faraz.

  3. اپریل 21, 2014 بوقت: 1:43 شام

    wo pas sy guzra or mara hal tak na pucha mein ksy maan jaowon k wo door ja k roya mjy es ka jwab chaheye jwab/e/shekwa mein

  4. Shiza said,

    نومبر 23, 2013 بوقت: 11:36 صبح

    Doosri bar bhi hoti to ussi say hoti..
    Hum bil-farz mohbt jo dobara krtay…

  5. Shiza said,

    نومبر 22, 2013 بوقت: 12:16 شام

    Saari dunia udaas payo gay….:..
    Hum say toray jo silslay tun nay…

  6. Shiza said,

    نومبر 22, 2013 بوقت: 12:15 شام

    Samnay us k badal jatay hn..
    Lfz saray hain munafiq meray…

  7. نومبر 20, 2013 بوقت: 4:13 شام

    Shoaib Unar
    Ishq na kia karo bus phir poetry ki nobaat hi nahi aaye gi

  8. khizra jee said,

    دسمبر 14, 2011 بوقت: 5:37 صبح

    w salam
    h r u tabasum
    ..

  9. khizra jee said,

    دسمبر 14, 2011 بوقت: 5:36 صبح

    hamaray taatuf k leay itna he kafi hai
    hum us say bach k chaltay hein jo rasta aam ho jaey
    ..

  10. دسمبر 13, 2011 بوقت: 4:37 شام

    Salam Khizra
    Well come on this page
    stay on this page and send more poetry.
    and nice poetry
    koshish achi hai

  11. khizra jee said,

    دسمبر 13, 2011 بوقت: 8:36 صبح

    hi friendz
    yeh mera 1st poem hai jo mein nay khud write ki hai..so plz tell me k ap sub ko kaise lagi
    downcast_bird2006@yahoo.com

  12. khizra jee said,

    دسمبر 13, 2011 بوقت: 8:34 صبح

    bin badal barsay chalay gaey
    phie dar say panchi bichar gaey
    phir aandhi aaye tham se gaye
    phir patay saray bikhar gaey
    jo phol khilay thay gulshan mein
    woh phol b saray bikhar gaey
    jo lamhay bharay thay khushyon say
    woh lamhay saray hijar gaey
    pehlay na tha yeh hijar ka dukh
    apnon say uon bicharnay ka
    socha na tha jewan mein
    khuch aisay pal b aaein gay
    phir taiz hawaon ki zad mein
    tujay dor buhat lay jaein gay
    kash lout aaein woh pal saray
    jo teray sath guzaray thay
    phir waqt nay aa k mujh say kaha
    mujay behlaya aur dukh say kaha
    mein chalam jaon phir aaon kaisay
    teray bichron ko phir laon kaisay

  13. shaheryar said,

    نومبر 15, 2011 بوقت: 4:23 شام

    Itna piyar dia usay par mila kch bhi nai
    itni gahri chahat ka hasilo hasool kch bhi nai
    wo hum say khafa thay to jan nikal gaye thi hamari
    hum un say khafa hain to hua kch bhi nai

  14. shaheryar said,

    نومبر 15, 2011 بوقت: 4:22 شام

    Mujahay arzoo_e_saher rahi younhi rat bhr bari dair tk
    na bikhar saka na simat saka younhi rat bhar bari dair tk

    tha bohat azaab aur akelay hum shab_E_ghum bhi meri taveel tar
    rahi zindagi bhi serab aur rahi ankh tar bari dair tk

    yaha hr taraf hai ajab sama sabhi khud pasand sbhi khud numa
    dil_E_beqrar ko na mil saka koi chara gar bari dair tk

    mujhay zindagi hai azeez tar isi wastay meray humsafar
    mujhay qatra qatra pila zahar jo karay asar bari dair tk

  15. shaheryar said,

    نومبر 15, 2011 بوقت: 4:21 شام

    Had_E_intiha say bohat agay tumhain chaha hai
    hum nay wafa say bohat agay tumhain chaha hai

    jaha say lout anay ka rasta nahi milta
    hum nay us rah say bohat agay tmhain chaha hai

    jin ki nazar main mohabbat gunah_E_azeem hai
    hum nay us gunnah say bohat agay tmhain chaha hai

    muhabton main harf ba harf hmain mangna nahi ata
    hum nay adab_E_dua say bohat agay tmhain chaha hai

    Shaheryar

  16. نومبر 7, 2011 بوقت: 5:01 شام

    وہ جو ایک پگلا سا دل میرا، بس اسی پہ ہی میرا حق رہا
    اسے توڑتے، اسے جوڑتے، میری عمر ساری گزر گئی

  17. اکتوبر 1, 2011 بوقت: 5:42 شام

    Bohut be’chain rehti hay tabiyat ek muddat se
    Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat ek muddat se

    Mujhy bhi rok rakha hay meri masrofiyat ne aur
    Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat ek muddat se

    Bohut majboor hon warna bohut mehsoos karta hoon
    Meri jaan tum se milnay ki zaroorat ek muddat se

    Kisi din aa k mil jao k apna li hay aankhon ne
    Tumhaari yaad mein ronay ki aadat ek muddat se

  18. ستمبر 29, 2011 بوقت: 4:24 شام

    Benaam sa yeh dard thaher kiun nahi jata
    Ju beet gaya hay woh guzer kiun nahi jata?

    Sab kuch tu hay kya dhondhti rehti hain nigahain
    Kya baat hay main waqt pe gher kiun nahi jata?

    "WOH AIK HI CHEHRA TU NAHI SARE JAHAN MAIN
    JU DOOR HAY WOH DIL SE UTER KIUN NAHI JATA?”

  19. ستمبر 29, 2011 بوقت: 4:23 شام

    Yahain apni apni bari par
    Sub hansty hain sub roty hain.
    Dil tu sab ka hota hay or
    Dukh bhi sub k hoty hain.
    Kuch ashk (Ansoo) dilon pay girty hain.
    Kuch mit’ti mein mil jaty hain.
    Kuch lafz adda ho jaty hain.
    Kuch honton par sil jaty hain.
    Mana k aduray rehty hain.
    Par khuwab tu sub k hoty hain.
    Kuch kho kar bhi paa lety hain.
    Kuch paa kar bhi kho dety.
    Yahin apni apni bari par .
    Sub hansty hain sab roty hain.

  20. rimon said,

    ستمبر 26, 2011 بوقت: 5:35 شام

    very nice poems, see this site also.
    Urdu Poetry

  21. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:37 شام

    Dhondnay jis mein zindagi nikli
    Wohee us shakhs kee gali nikili
    Teray lehjay mein tha nahee kia kuchh
    Sirf such kee zara kami nikli
    Woh jo legti thi kanch ki guriya
    zZarb perhnay pe aahini nikli
    us haveli mein shaam dhelnay per
    her dereechay se roshni nikli
    Woh hawa tu nehi thi lerki thi
    Kis liye itni sirphri nikli
    Woh teray asmaan ka kia kerti
    Jis ki mitti se dosti nikli

  22. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:18 شام

    Ajeeb khawish ha sehar waloon say chup chupa k kitaab likhoon
    Tumharay naam apni zindagi ki kitaab ka intasaab likhoon
    Woh lamha kitna ajeeb tha jub humari aankahin galay mileen theen
    Main kis tarhan ab mohabbatoon ki tish nage k aazab likhoon
    Tumhi nay meray ujar rastoon pay khawishoon k diea jaliea
    Tumhi nay chaha tha k khushk hontoon say chahoon k gulaab likhoon
    Kabhi woh din they k neend aankhoon ki sarhadoon say paray paray thi
    Magar ab jub bhi sona chahoon,tumhari yaadaon k khawab likhoon
    Main tanha larki dayar-a-shab main jaloon sach k diea kahan tak
    Siyah karoon ki saltanat main main kis tarhan aftab likhoon
    Zidatoon k jinoon main jis k qadan lahoon say rangay hwea hain
    Woh meray bas main nahi hain logon! k unko izaat-a-maab likhoon
    Yahi bohat ha k in laboon ko sada say mehroon kar k rakh doon
    Magar ya kaisi muslahat ha samandaroon ko saarab likhoon

  23. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:16 شام

    Salam,
    bohot kuch badal jata hai
    tere aane k baad,
    bohot kuch bichad jata hai
    tere jane k baad,
    wo samandar ki leherein,
    wo reth k mehel,
    bohot kuch beh jata hai
    saahil se takra jane k baad,
    wo baarish k moti,
    wo taaron ki khwahish,
    bohot kuch bikhar jata hai
    khwab toot jane k baad,
    wo teri parchaiyon se takrana,
    wo saayon ka lehrana
    bohot kuch mit jata hai andhera chaa jane k baad.

  24. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:15 شام

    Salam
    Koi OR Taraan Ki Bat Karoo___!
    Dil Jis Say Sab Ka Behail Jayee
    Dehaan Or Taraf Nikal Jayee
    Koi Or Taraan Ki Bat Karoo____!

    Dehaan Or Taraf Nikal Jayee
    Kisi Or Khayaal Main Dhaal Jaye
    Bay’masroof Din K Akheer Par
    Yea Dhalti Shaam Sambhaal Jayee

    Is Sakht Mukaam Zamanon Ka
    Yea Sakht Mukaam Badal Jayee

    Koi Or Taran Ki Bat Karoo
    Kisi Ghaat Par Kashti Aaan Lagay
    Koi Nayee Nayee Pechaan Lagay
    Koi Naya Naya Anjaam Lagay
    Bay’masroof Din K Akheer Par
    Yea Dhalti Shaam Sambhal Jayee
    Koi Or Taran Ki Bat Karoo…………!!

  25. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:13 شام

    Muhabbat Rooth Jaye To
    Usay Hathon Main Lelena

    Bohat Hi Pas Kar K Tum
    Usay Jane Nahi Dena

    Woh Daman Bhi Churaye To
    Usay Tum Qasam De dena

    Dilon K Muamlon Mein To
    Khataein Ho Hi Jati Hain

    Tum In Khataon Ko
    Bahana Mat Bana Lena

    Muhabbat Rooth Jaye To
    Usay Jaldi Mana Lena

  26. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:13 شام

    Kaho To Laut Jate Hain
    Abhi To Baat Lamhon Tak He, Salon Tak Nahi Aai
    Abhi Muskanon Ki Nobat Bhi Nalon Tak Nahi Aai
    Abhi To Koi Majborri Khiyalon Tak Nahi Aai
    Abhi To Gard Peron Tak He. Balon Tak Nahi Aai
    Kaho To Laut Jate Hain
    Chalo Ek Faisla K7arne Shajar Ki Aut Jate Hain
    Abhi Kajil Ki Dori Surkh Galon Tak Nahi Aai
    Zuban Datoon Talak Hai Zehr Piyalon Tak Naheen Aai
    Ibhi To Musk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
    Ibhi Rodad-E-Beunwan Humaray Darmian He, Duniyan Walloon Tak Nahin Aai
    Kaho To Lout Jatan Han
    Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han

    Abhi Nazdeek Hain Ghar aur Manzil Door He Apni
    Mubada Nar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni
    Kaho To Lout Jatay Han
    Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
    Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
    Rasan Ka Dar Ka Rasta,
    Bohat Dushwar He Jana
    Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.
    Kaho To Lout Jatay Han
    Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
    Maray Baray Na Kuch Socho
    Mujhay To Sath Tumharay Amer Hounay Ki Hasrat He
    Mujhay Tay Karna Ata He Rasan Ka Dar Ka Rasta
    Ye Asaboon Bhara Rasta
    Ye Andhi Ghar Ka Rasta
    Tumhary Gaisooun Ki Chaoon Mil Jayay To Suraj Se Ulajhna Bat He Kia He
    Udha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
    Tumhara Narm O Nazuk Hath Mere Hath Man Ho To Me Ye Samjho
    Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
    Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho Ja Yan
    Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho Ja Yan.
    Mujhe Maloom He Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
    Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Han In Dushwar Rastoon Man
    Meray Baray Na Kuch Socho
    Tum Apni Bat Batlaoo
    Kahoo To Charltay Rahtay Han
    Kahoo To Lout Jatay Han

  27. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:12 شام

    "Ek ishq”

    nagar ki waadi thi,

    Jahan pyar ki nadiya behti thi,

    Kuch dilwale b rehte thy,

    Jo pyar ki batein karty thy,

    Jab bahar ka mosam ata tha,

    Or phol pyar k khilte thy,

    Mast nasheli shamon ma,

    Pyar se 2 dil milte thy,

    Ek roz wo basti ujar gai,

    Or pyar ki hasti bikhar gai,

    Phir har ik dil ko sog laga,

    Or jeevan bhar ka rog laga,

    Dewane phirte rehte hein,

    Or har ik se wo kehte hein,

    Iqrar kisi se na KaRNa,

    tum pyar kisi se na KaRNa

  28. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:11 شام

    Tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
    kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain

    Hadise-yaar ke unvaan nikharne lagte hain
    to har hareem mein gesu sanvarne lagte hain

    Har ajnabi hamein marhum dikhai deta hai
    jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain

    sabaa se karte hain gurbat-naseeb zikre vatan
    to chashme-subah mein aansu ubharne lagte hain

    wo jab bhi karte hain es nutko-lab ki bakhiyagri
    fizaa mein aur bhi kaante bikharne lagte hain

    dare-kafas pe andhere ki muhar lagti hai
    to ‘Faiz’ dil mein sitaare utarne lagte hain

  29. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:08 شام

    Us se kaho ek bar bhool kar aa jaye,
    Jo beeti hai us per wo to suna jaye,

    Hans hans k Gham chupanay ka hunar,
    Is se kaho hum ko bhi sikha jaye,

    Us ki yaad mein taraptii rehti hoon her pal,
    Us se kaho mere dil se apna naam to Mita jaye,

    Arsa huwa hai chand ko dekhy huwe logo,
    Use kaho k Apna chehra to dikha jaye,

    Aaye bhi to kya de sakoon ge Us ko,
    Faqat ek zindagi hai, Wo apny naam likhwa jaye.

  30. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:08 شام

    Aik wahem tha dil main
    Shayad kabhi milo tum
    kuch dair ruk ker poocho
    beetay dinoon ka moosam
    aawaz main ho larzish
    aankhoon main ho tajassus
    Mazay ka koi lamha
    shayad atak gaya ho
    sab bhool ker bhi shayad
    kuch yaad agaya ho
    phir main tumhain bataoon
    apni khushi ki baatain
    har dukh ko chupa ker dil main
    aasoodgi ki baatain
    wo chand chudhween ka
    taroon bhari wo aankhain
    dilkash haseen shamain
    maasoom wardatain
    wo piyaar ka tasawwor
    wo bandagi ki batain
    Wo rooz rooz marna
    Aur zindagi ki baatain
    Tum dukh say muskurao
    Dheeray say muskurao
    Dheeray say paas aao
    Sar ko jhuka kay apnay
    Chup chaap loot jao
    Phir main bhi muskuraon
    Maan kay diyay jalaon
    Duhraon apnay dil main
    Taa’luq say haqeeqat
    Aik khuwab zindagi ka
    Haan umer bhar jo daikha
    Kabhi ho saka na pora
    Younhi rah gaya adhoora
    Aik khuwab-e-zindagi tha

  31. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:06 شام

    IK JESI LAGTI HEIN CHOORIYAN B LRKIYAN B,
    HANSTI HEN KHANAKTI HN CHURIYAN B LRKIYAN B
    NAZUK INTEHAA KI K
    IK ZRA C THAIS SE
    TOOT KR BIKHARTI HEIN CHURIYAN B LARKIYAN B
    IN K TORRNE WALON KO
    EHSAS TK NHI HOTA
    BIKHR K KB SMBHLTI HEIN?
    CHURIAN B LRKIYAN B
    ZINDGI KI DHAKAN KO EK RIDHM SA DETI HEN
    ZEEST KO SJAATI HEIN CHURIYAN LARKIYAN B
    APNE DUKH KO APNE ANDR
    RAKH K BHOOL JATI HEIN
    BAHR SE CHAMAKTI HEIN
    CHURIAN B LARKIYAN B……………..!!!!!!!!

  32. ستمبر 26, 2011 بوقت: 4:06 شام

    Tum ne baarishon ko mehz barste dekha hai
    main ne aksar barishon ko kuch kehte suntey dekha hai,

    Tum dekhte ho barishon ki jal thal her saal,
    mene barsat ko barhaa palkon pe machalte dekha hai,

    Kese mangun barstaa saawan apne RABB se??
    in ankhon ne bastion ko saawan mei ujarte dekha hai,

    Seekh gay hum barishon ko apne undar utarne ka fun,
    or phir sab ne hamen har pal hr dum hanste dekha hai…!

  33. TABASUM said,

    ستمبر 26, 2011 بوقت: 3:57 شام

    Dukh anmol hotey hain
    qudrat ki wadeeat hain
    kabhi kuch dey k jaatey hain
    kabhi sub cheen laitey hain
    kabhi beychain kartey hain
    kabhi jeena sikhaatey hain
    kabhi bantey hain jub aansoo
    umar bhar lahoo rulaatey hain
    kabhi lub ki hunsi bun kar
    nayi dunya sajaatey hain
    kabhi meethi kasak ban kar
    anjaani khalish bun kar
    makeen-e-dil yeh bantey hain
    kisi soorat nahin mit’tey
    jo in say door bhaago tou
    kaheen jaaney nahin detay
    naa zinda rehnay detay hain
    naa yeh aazaad kartey hain
    nahin jiski dawa koi
    yeh aisa dard hotey hain
    magar yeh bhi ik haqeeqat hay
    hur aik ko to nahin miltey
    barey nayaab hotey hain
    Dukh anmol hotey hain!!

  34. TABASUM said,

    ستمبر 26, 2011 بوقت: 3:56 شام

    Aao…
    or na socho.
    soch ke kia paao gey..
    jitna bhi samjhey ho.
    itna hi pachtaao gey.
    Aao..
    or na socho..
    tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
    wo meri dekhi bhali hai.
    jane bhi do.
    is ka kab tak sogg manana..
    yeh dunia andar se kion itni kaali hai..
    Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum.
    such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
    jhoot ke hathon.
    woh mushkil asaan karen hum.
    tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
    phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun.
    phir tum woh sari jhuti baten dohrao.
    jo sab ko acchi lagti hen.
    jesey…
    wafa karne ki baten..
    jeene ki…
    marne ki baten..
    hum dono yun waqt guzaren.
    .me tumko kuch khuwaab dikhaun.
    tum mujhko kuch khuwaab dikhao.
    jinki koi taabeer na ho.
    jitne din yeh mail rahe ga..
    dekho acha khel rahe ga.
    or kabhi dil bhar jaye to.
    kehdena tum..
    beet gaya milne ka mausam.
    Aao.
    or na socho…
    soch ke kia pao gey…

  35. TABASUM said,

    ستمبر 26, 2011 بوقت: 3:51 شام

    Vo baat baat men itna badalta jaata hai…………………
    ki jis tarah koii vada badalata jaata hai

    yeh aarzoo thi ki ham us ke sath saath chale
    magar vo shaks to rasta badalta jaata hai

    jo tez dhoop men sar par raha vahii aanchal
    hawaa chali hai to kitna badalta jaata hai

    root-e-vishaal ki ab khwaab honewaali hai
    ki us ki baat ka lehja badalta jata hai

    vo baat kar jise duniya bhi mautbar samajhe
    tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai

  36. ستمبر 26, 2011 بوقت: 3:38 شام

    Raston ki Marzi hai

    Be-Zameen Logon ko
    Be-Qarar ankhon ko
    Bad-Naseeb Qadmon ko
    Jis Taraf bhi le jaye

    Raston ki Marzi hai

    Be-Nishan Jazeeron per
    Bad-Gumaan Shehron mai
    Be-Zuban Musafir ko
    Jis taraf bhi Bhatka dain

    Raston ki Marzi hai

    Rok dain ya barhne dain
    Thaam lain ya Girne dain
    Wasal ki Lakeeron ko
    Tor dain ya Milne dain

    Raston ki Marzi hai

    Ajnabi koi la ker Humsafar bana dalain
    Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
    Ya Musaftain sari Khaak mai mila dalain

    Raston ki Marzi hai………

  37. Tabasum said,

    ستمبر 23, 2011 بوقت: 10:42 صبح

    hum ne tery liye reewaj alag rakha hai.
    Tujko duniya se meri jaan ala rakha hai.
    Yaadd kartey hain tuje Eid maana letey hain.
    Humne apne liye tahwaar alag rakha hai

    Salam hi koi Seemi G.Apne jo number yahan likha hai is par maine koi call ki thi koi BABER bhai se baat hoi.
    meri ID ye hai Ap muje mali kar saktey hain
    Dreamboy00085@yahoo.com
    Tabasum143@live.com

  38. seemi said,

    ستمبر 15, 2011 بوقت: 7:51 صبح

    plz call me 03312003254
    tabassum

  39. seemi said,

    ستمبر 15, 2011 بوقت: 7:47 صبح

    03312003254

  40. Dawood said,

    ستمبر 6, 2011 بوقت: 4:37 شام

    Its out standing poetry (dawood 03464644959)

  41. اگست 21, 2011 بوقت: 1:45 شام

    kabhi yaad aao to is tarah….!
    kabhi yaad aao to is tarah
    ke lahoo ki saree tamaazataiN
    tumhaiN dhoop dhoop samaiT laiN
    tumhaiN rang rang nikhar daiN
    tumhaiN harf harf sooch laiN
    tumhaiN dekhney ka jo shouq ho
    to diyaar-e-hijar ki teergee !
    ko_mijah ki nook se nooch laiN
    kabhi yaad aao to is tarah
    ke dil-o-nazar maiN utar sakoo
    kabhi hud se habs-e-junooN bad.rhey
    to havaas bun ke bikhar sakoo
    kabhi khul sakoo shab-e-vasal maiN
    kabhi Khoon-e-dil maiN sanvar sakoo
    sar-e-rehguzar jo milo ….. kabhi
    na Thehar sakoo…. na guzar sakoo
    mira dard phir se Ghazal buney
    kabhi gungunaoo … to is tarah
    mirey zaKhm phir se gulaab hooN
    kabhi muskuraoo ….. to is tarah
    miri Dhad.rkanaiN bhi laraz uThaiN
    kabhi chauT khaoo ….. to is tarah
    jo nahi to phir bad.rey shouq se
    sabhi rabtey sabhi zaabtey
    kabhi dhoop chaooN main tood.r do
    na shikast-e-dil ka sitam sahoo
    na sunoo kisi ka azaab-e-jaaN
    yooNhi Khush phiroo, yooNhi Khush rahoo
    na ujad.r sakaiN na sanvar sakaiN
    kabhi dil dukhaoo …. to is tarah
    na simaT sakaiN na bikhar sakaiN
    kabhi bhool jao …. to is tarah
    kisi taur jaaN se guzar sakaiN
    kabhi yaad aoo …. to is tarah

  42. اگست 21, 2011 بوقت: 1:44 شام

    Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main,
    Apna Tarruf Aapse Karwaoon Kaise..

    Kuch Simti Hui Choti Si Duniya Hai Meri,
    Iss Dil Ki Gehraiyon Mein Aapko Le Jaoon Kaise..

    Aasman Ki Uchaiyon Tak Mere Khwab Bikhre Hain,
    Apne Armaano Ki Hadd Main Dikhaoon Kaise..

    Muskurana Meri Aadat Hai Aansuon Ko Chhupa Kar,
    Par Har Gham Ko Apni Hassi Se Behlaoon Kaise..

    Dosti Hi Meri Chahat Hai Aur Dost Meri Zindagi,
    Ishq Se Apni Berukhi Ka Sabab Bataoon Kaise..

    Hokar Meri Sarhadon Mein Shamil
    Aap Hi Jaan Lo Mujhe,
    Kisi Aur Tarah Aapko ,Khud Se Milwaoon Kaise……..

  43. اگست 21, 2011 بوقت: 1:43 شام

    US NAY KAHA MUJH SAY TUMHEN KITNA PYAR HAI,

    MEIN NAY KAHA SITARON KA BHI KOI SHUMAAR HAI,

    US NAY KAHA KON TUMHEN HAI BOHAT AZEEZ,

    MEIN NAY KAHA DIL PAY JISAY IKHTIYAR HAI,

    US NAY KAHA KON SA TOHFA HAI MANPASAND,

    MEIN NAY KAHA WO SHAM JO AB TAK UDHAAR HAI,

    US NAY KAHA KHIZAAN MEI MULAQAT KA JAWAZ,

    MEIN NAY KAHA QURB KA MATLAB BAHAAR HAI,

    US NAY KAHA SAINKRON GHAM ZINDAGI MEI HAIN,

    MEIN NAY KAHA KEH GHAM NHI JAB GHAMGUSAAR HAI,

    US NAY KAHA SATH KAB TAK NIBHAO GAY,

    MEIN NAY KAHA JITNI YEH SAANSON KI TAAR HAI,

    US NAY KAHA MUJH KO YAQEEN AAEY KIS TARAH,

    MEIN NAY KAHA KEH NAAM MERA AITBAAR HAI….

  44. اگست 21, 2011 بوقت: 1:41 شام

    Tera na ho saka to mar jaunga “Faraz”,
    kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.

  45. اگست 21, 2011 بوقت: 1:41 شام

    Bara dushwaar hota hai
    zara sa faisla karna
    k jeevan ki kahaani ko biyaan e be-zubaani ko
    kahaan se yaad rakhna, kahaan se bhool jana hai
    ussay kitna batana hai,ussay kitna chupana hai
    kahaan ro ro k hansna hai
    kahaan hans hans k rona hai
    uss anchal k kisi konay ko kitna bhigona hai
    kahaan awaaz deni hai
    kahaan khaamosh rehna ha
    kisi dukh ko kahaan par
    koun si shiddat se kehna hai
    kahaan raasta badalna hai
    kahaan se laut aana hai
    zara sa faisla karna


Leave a Reply / Ap ka pegham