Saghar Siddiqui’s Poetry – Urdu Shayari


Source and for more :- Saghar Siddiqui Poetry

22 تبصرے

  1. N said,

    فروری 11, 2016 بوقت: 4:27 شام

    Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
    Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai
    Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
    Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai
    Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
    Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai
    Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
    Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai
    Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
    Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai
    Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
    Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai
    Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”
    Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai

  2. Ham ne 'sagar' ki Gazal parh kar hi G bahla liya Us se kya milte wo to apne ap se b bezar tha. said,

    ستمبر 22, 2012 بوقت: 6:20 صبح

    Ham ne ‘sagar’ ki Gazal parh kar hi G bahla liya

    Us se kya milte wo apne ap se b bezar tha

  3. usman said,

    جون 21, 2012 بوقت: 2:26 صبح

    great poetry………..

  4. Najam ul Sehr said,

    مئی 28, 2012 بوقت: 6:13 صبح

    niceeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

  5. waseem said,

    جنوری 23, 2012 بوقت: 3:26 صبح

    I have no words to admire this stunning poetry.
    This is incredible. I. Like it

  6. sohail said,

    جنوری 21, 2012 بوقت: 9:58 صبح

    sagar sadiqui apnay door k bht baray shair rahay hain jin ki gazlu ne puri dunia me dhoom macha di. aur apna nam rehti dunai tk qaim kiya…
    ]

  7. Tasawar sabir said,

    دسمبر 19, 2011 بوقت: 6:06 شام

    Dil umad aya ha. Soch ne sun kr halat.e,sagir dil ko jala rakha ha, kitni sanglakh or talakh ha ye zindgi. pholo ko b kanta is ne chuba rakha ha. Kry ga kia ahata dard.e.sagar ka sabir. Khud us ne lasha.e. Jasad kando pe apne utha rakha ha.

  8. dr.sagar said,

    دسمبر 1, 2011 بوقت: 11:15 شام

    so sweeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeet………

  9. babar jamil said,

    نومبر 27, 2011 بوقت: 9:50 صبح

    sagar sooooooooo swt

  10. AB said,

    نومبر 24, 2011 بوقت: 7:52 صبح

    chupaye dil mein gamon ka jahan baithey hain
    tumhari bazm mein hum be-zaban baithey hain

    yeh aur bat k manzil pe ham pohanch na sakey
    magar yeh kam hai k rahon ko chhaan baithey hain

    fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam
    abhi to ghar mein bahut mehrban baithey hain

    ab aur gardish-e-taqdir kya sataiy gi
    luta k ishq mein naam-o-nishan baithey hain

    woh ek lafz-e-mohabbat he dil ka dushman hai
    jisey shariat-e-ehsas masn baithey hain

    hai maikadon ki baharon se dosti ‘Sagar’
    baraye had-e-yaqin-o-guman baithey hain
    AB

  11. AB said,

    نومبر 22, 2011 بوقت: 9:28 صبح

    kab hoe pyaar ki barsaat kuch yaad nahi
    khoof main doobi wo mulaqaat yad nahi
    ham to madhoosh the us k ishq main
    kab us ne choor dia saath yaad nahi
    kah-e-yaar pe palkoon se dastak di hai
    main wo sael ho jise koi sadaa yaad nahi
    saari zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kati hai
    kis jurm ki pae hai saza yaad nahi
    aao alam-e-madhoshi main ik sajda karen
    loog kehte hai k sager ko HUDAA yaad nahi
    AB

  12. Muhammad Awes said,

    نومبر 17, 2011 بوقت: 7:29 صبح

    very niceeeee

  13. ada said,

    نومبر 11, 2011 بوقت: 5:03 شام

    bahot khub
    ye kervan unhi hamesha bana rahe

  14. asrar asir said,

    نومبر 9, 2011 بوقت: 5:45 شام

    saghir teri azmat ko sala
    tera asir
    asrar asir

  15. اکتوبر 17, 2011 بوقت: 4:11 شام

    Salam

    Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Dia

    Saaz Khamosh Hain Naghmaat Ne Dam Tor Dia

    Har Mussarat Gham-e- Deeroze Ka Unwaan Bani

    Waqt Ki God Main Lamhaat Ne Dam Tor Dia

    An Gint Mahfilain Mahroom Charaghan Hai Abhi

    Kon Kahta Hai Ke Zulmaat Ne Dam Tor Dia

    Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Charagh

    Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Dia

    Jin Se Afsana -e -Hasti Mai Tasalsul Tha Kabhi

    In Mohabbat Ki Rawayaat Ne Dam Tor Dia

    Jhilmilatay Huay Ashkon Ki Lari Toot Gayi

    Jagmagati Huyi Barsaat Ne Dam Tor Dia

    Haaay Aadab-e- Mohabbat Ke Takazay Saghir

    Lab Hilay Aur Shikayaat Ne Dam Tor Dia

    • babar jamil said,

      نومبر 27, 2011 بوقت: 9:51 صبح

      nice ggg

    • اسد نواز ورك Asad nawaz virk said,

      ستمبر 17, 2012 بوقت: 5:36 صبح

      Sa’qia tere ba’dah khane mai,,,naam sager hai mey ko tarse hai’N

    • اسد نواز ورك Asad nawaz virk said,

      ستمبر 17, 2012 بوقت: 5:43 صبح

      Meri es ta’lleb pe Khali hath hee rakh do,,, na kuch Milne se sa’el ko ba’Di takleef hoti hai

  16. ikhlaq bhatti said,

    اکتوبر 16, 2011 بوقت: 4:54 شام

    Salam. Aise bemisaal hastayoon ki wajah se hi hamari tehzeeb dunyaan bhar par ghalib hai ALLAH pak bass aise muhsin iss pak dharti par bhejta rahe

  17. naqvi said,

    ستمبر 30, 2011 بوقت: 5:08 صبح

    very very very niceeeeee

    • اسد نواز ورك Asad nawaz virk said,

      ستمبر 17, 2012 بوقت: 5:32 صبح

      Gullou’N se rang sita’rou’N se roshni le kar,,,,,Hum jamal-e yaa’r ka naqsha otaar lete hai’N


Leave a Reply / Ap ka pegham