FB.com Urdu Poetry Verses

Ye Baarisho?n K Mausam
Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
k Mohabbato?nMain Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se…

=========================

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha

Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay

Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay

Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin

Kal yaad bohut tum aye thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY

=========================

Is bar bhi barish khoob khob hui aur badal toot k barsa tha

galyan koochy jal thal thy par soch ka darya paysa tha

band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di

ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha

=========================

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

=========================

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein
Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein

=========================

Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna
Sapnon Wali Baat Kissi Se Mat Kehna
Kaisay Uthay Badaal Or Kahan Takray
Kaisi Hui Barsaat Kissi Se Mat Kehna

=========================

Wo Tou Baarish Ki
Boondai?n Dekh Kr
Khush Hota Hy

Us Ko Kia Maloom k
Hr Girny Wala Qatra
Paani Nahi Hota ?
======

Shor na kar… Dhadkan tham ja zara kuch pal ke liye,
Bari mushkil se mujhko aankho mein uska khawaab aaya hai..!

=================================
Har kisko dil lagane ki saza milti hain​

Hum toh asqkon mein unhe doonte hain…….​

=================================
“dard ko dil me sambhaalane ka hosaala hum me nhi…
k ab tuut kar ankho se tere bewafaai nikali hai…..” < ================================= Khuda kare tera khwaab haqikat me tabdil ho jaye ‘Wo’ samne aa jaye aur tera ahsaas mukammal ho ================================= Tujh Ko Khabar Nahi Magar Ek Baat Hai “JAANU” Barbaad Kar Diya Tera Do Din Ke Pyaar Ne Muje ================================= Wo is kamal se khela tha ishq ki bazi, Me apni fatah samajhta tha maat hone tak. ================================= Ruh ko ik aur gam ki talaash hai shayad Apki bewafai se dil bhara nahi hai abtalaq…. ================================= Hume’n ab koi aur khwahish nahi, us ‘nigah’ k ilawa Jisne jism me humare ruh baki rakhi hai abtalaq…. ================================= Kaun kahta hai tu qatil hai, mere mustaqbil ka Z….. Faqat tere nigah-e-karam ne hi Zindgi bana di meri,,, ================================= rastey rastey bhar ro ro kr poocha hum sey paaon k chalon nay basty kitni dooor basaa lee dil main basnay walon nay ================================= Two Lines Poetry – 2 Line Shayari Collection utha k phool ki patti usne bari nazakt se Masal daaali….. Ishahro isharo me keh diya, k hum dil k yeh haal kerte hai… ================================= Hum ny to khud sy intiqam liya, Tm ny kya soch kr muhabat ki. ================================= two lines only Na Jaane Kyon nazar Lag Gayii Zamaane Ki, Ab Wajah Bhi Milti Nahi Muskuraane Ki ================================= Mujhe tumse paane ki aarzoo hai mere humnwa,,, Mohobbat na sahi,,,, tu dard hi baksh de humko,,,, ================================= Mere Dil Ki Umeedo Ka Housla To Dekho..! Intazar Uska Hai Jisko Mera Ehsas Tak Nahi…. ================================= PaaNi SaSta HaI To PhIr TahaFuz Ka!sa,,,,????? KhooN MehNga Ha! To HaR ShehaR Me BehTa KyO Ha!…!!!! ================================= Wo bichhadne ke pahle ik baar mile hote To darmiyaan dilon ke ye faasle na hote ================================= Anaa Kehti hai bar bar mujh se Wo Mohabbat hi kiya jo iltija se milay…….!!! ================================= Jahe naseeb tere kadam jo pade humari bhi gali me Ab dekh mahfilo’n me teri, roshan chiraag karte hai’n kaise ================================= ♥ Main Simtane k liye har baar tum se milta hoon.♥ ♥Tum se Milta hoon to khuch or bikhar jata hoon. ♥●•~ღ ================================= Qyamat hai ke howe muddai ka hamsafar ghalib……. wo kafir jo khuda ko bhi na sounpa jaye hai mujh se ================================= کرینگے ترکِ تعلق یہ تم سے وعدہ ہے بدن سے سا نس کا رشتہ تو ٹوٹ جانے دو ================================= Chaha Hai Jub Se Usko Bus Itna Saa Ghum Hai…!! Hai PiYaar mera Hadh Se ZiYada Par Umar B0hat Kam Hai…!! ================================= Moula meri umer kay chahay saarey deep bhujaa dey lekin us ki aankhon kay sab khawb salamat rakhna ================================= Apnay kirdar ko mosam sey bachaye rakhna loat kr phool main wapis nahe ati khushboo ================================= sirf ek qadam uThaa thaa Galat raah-e-Ishq men.. manzil tamaam umr hamen Dhoondhatii rahii.. ================================= Zindagi kab ki ho chuki khamosh, Dil to bs aadataN dharakta hai. ================================= aj halki halki baarish hay aaj sard hawa ka raqs bhi hay Aj phool bhi nikhrey nikhrey hain aur un main tumhara aks bhi hay ================================= Shikwa-e-Ishq hai Jurrat-e-Guftaar ka paband, …Lekin… Jo lafzoon mein bayaan ho noor, wo mohabbat nahi hoti,

Urdu Love Poetry

Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai
Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai

Na Muzda-E-Visaal Na Nazaara-E-Jamaal
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai

Mai Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be Hijaab
Ae Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai

Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna
Kya Auj Par Sitara-E-Gauharfarosh Hai

Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai

Ae Taaza Vaaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil
Zinhaar Gar Tumhen Hawas-E-Na-O-Nosh Hai

Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai

Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai

Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat
Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gulfarosh Hai

Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai

Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Main
Naa Vo Suruur-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai

Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui
Ik Shamma Rah Gai Hai So Vo Bhi Khamosh Hai

Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Main
‘Ghalib’, Sarir-E-Khaama Navaa-E-Sarosh Hai

====
Urdu Love Poetry
Zikr Us Parivash Ka, Aur Phir Bayaan Apna
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna
Read the rest of this entry »