Parveen Shakir Poetry Collection


Image

1

2

3
Dast basta shehr main kholay meri zanjeer
koun
Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun
Mera sar haazir
hay lekin mera munsif dekh lay
Kar raha hay meri fard0e0jurm ko tehreer
koun

Meri chaadar toh chinni thee shaam ki tanhaayee main
Be-riddayii
ko meri phir dey gaya tash-heer koun

Neend jub kawbon sey pyari ho toh
aisey ehd main
Khawb dekhay koun aur khawbon ki dey taabeer koun

Rait
abhi pichlay gharondon sey na wapis ayee thee
Phir lab-e-saaahil gharonda kar
gaya taameer koun

Dushmano kay sath merey dost bhi azaad hain
Dekhna
hay kheenchta hay mujh pay pehla teer
koun

*******************

4

!! Tujh se koi gilla nahin hai !!
!! Qismat main meri silla nahin
nahi !!

!! Bichar ke to na-janey kia haal ho !!
!! Jo
shakhs abhi milla nahi hai!!

!! Jeeney ki to aarzu hi kab thi
!!
!! Marney ka bhi hosla nahin hai
!!

!! Jo zeest ko mu-tabir bana dey !!
!! Aesa koi silsila
nahin hai !!

!! Khushboo ka hisaab ho chuka!!
!! Aur phool
abhi khilla nahi hai !!

!!
Sershaari-e-rehbari main dekha !!
!! Peechy mera qafilla nahin hai
!!


!! Ek thais pe dil ka phoot behna !!
!! Chooney
mein to aabla nahi hai
!!


**********************

 5

******************

6

rasta bhi kaThan, dhoop meiN shiddat bhi bohat thi
saaye
se magar us ko mohabbat bhi bohat thi

kheme
na koii mere musaafir ke jalaaye
zakhmi tha bohat paaooN musaafat bhi bohat thi

sab
dost mre muntazir-e-parda-e-shab the
din meiN to safar karne meiN diqqat bhi
bohat thi

barrish ki duaaoN meiN nami aaNkhi ki mil jaaye
jazbe ki
kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi

kuchchh to tre mausam hi mujhe raas kam
aaye
aur kuchchh mri miTTi meiN baghaawat bhi bohat thi

phooloN ka
bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchchh is meiN hawaaoN ki siyaasat bhi
bohat thi

is tark-e-rafaaqat pe pareshaaN to hooN lekin
ab tak ke tre
saath pe herat bhi bohat thi

khush aaye tujhe shehr-e-munaafiq ki
ameeri
hum logoN ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi
Perveen
Shakir

——————

7

——————

8

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi

mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya

kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha

magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki

************

9

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai

aik lamhay ki tawajoo nahi hasil uss ki
aur yeh dil keh ussay hud say siwa chahta hai

ik hijaab teh e iqrar hai ma’nay manay warna
gul ko maloom hai kaya dast e saba chahta hai

rait he rait hai iss dil mein musafir mairay
aur yeah sehra taira naqash e qaf e pa chahta hai

yehe khamooshi kai rung mein zahir ho gi
aur kuch roz keh woh shokh khula chahta hai

raat ko maan liya dil nay muqadar laykin
raat kay haath pay aab koi diya chahta hai

tairay paymanay mein gardish nahi baqi saqi
aur tairi bezam say aab koi utha chahta hai

Perveen Shakir ki shayari pasand kerne wale yaha on ki shayari reply ma post krain

———–

10

Sarey Wadon Ko Bhula Sakta Hon

Lekin Rehne Do
..

Main Tumhe Choor Ke Ja Sakta Hon

Lekin Rehne Do ..

Tum
Jo Har Mor Pe Keh Dety Ho Khuda Hafiz

Fesla Main Bhi Suna Sakta Hon

Lekin Rehne Do ..

Tum ne Jo Bat Ki Dil ko Dukhnay Wali

Us
Pe Main Muskura Sakta Hon

Lekin Rehne Do ..

Sharam Aye gi Tumhe
Warna Tumhare Wade

Main Tumhe Yaad Dila Sakta Hoon

Lekin Rehne
Do ..

(Parveen Shakir Poetry)

========================

11
kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
main apne hath se us ki
dulhan sajaungi

supurd kar k use chandni k hathon
main apne
ghar k andheron ko laut aungi

badan k karb ko wo bhi
samajh na payega
main dil main roungi ankhon main
muskuraungi

wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis
se ruth sakungi kise manaungi

wo ik rishta-e-benam bhi
nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar
jhukaungi

bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k
uthe to khwabon ki rakh uthaungi

ab us ka fan to kisi aur
se mansub hua
main kis ki nazm akele main
gungunaungi

jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah
raha tha k main us ko bhul jaungi

samaaton main ghane
jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na
paungi

__________________
Image

92 تبصرے

  1. salman said,

    مئی 6, 2012 بوقت: 4:20 صبح

    ‎”Mohsin” Yeh Raaz Uss Sy Mulaqaat Py Khula…

    Matlab Nikalny Main Woh Mahir Bala Ka Thaa….

  2. شائستہ said,

    اپریل 30, 2012 بوقت: 5:35 شام

    بے ربط سی تحریر عبارت نہیں ہوتی
    ہاتھوں کی لکیروں میں تو قسمت نہیں ہوتی

    سجدے میں دکھاوا ہو تو سجدہ نہیں ہوتا
    گردن کے جھکانے سے عبادت نہیں ہوتی

    وہ شخص محبت سے ہمیشہ رہا محروم
    اوروں کیلئے جس میں محبت نہیں ہوتی

    شہکارکی تکمیل میں شامل نہ گر فکر
    تصویر تو بن جاتی ہیں مورت نہیں ہوتی

    چہرے کا سنگھاراس کے کبھی کام نہ آیا
    سیرت کے بنا کوئی بھی صورت نہیں ہوتی

    وہ دل نہیں پتھر کا ہے بے جان سا ٹکڑا
    جس دل کو گناہوں پہ بھی خفت نہیں ہوتی

    نکلو تو ضیا خول سے تم اپنی انا کو
    اس حبس میں تم کو کبھی کوئی وحشت نہیں ہوتی؟

  3. mohaiz said,

    اپریل 28, 2012 بوقت: 10:34 صبح

    Yaad aati hain jb teri baatain
    Hum kaleja pakar k rotay hain

  4. mohaiz said,

    اپریل 28, 2012 بوقت: 10:33 صبح

    Saza Aisi Mili Mujh Ko , Zakham Ese Lagay Dil Par

    Chupaata Tou Jigar Jata , Sunaata Tou Bikhar Jata

  5. mohaiz said,

    اپریل 28, 2012 بوقت: 10:32 صبح

    Jin Ke Chehray Gulaab Hotay Hein.
    ..Log Wohe Kharab Hotay Hein

  6. waseem saddiqui said,

    اپریل 28, 2012 بوقت: 8:53 صبح

    Na hath thaam sakay na paker sakay daman.boh guzar gia kio shaks..ot he qreeb hoo kar

  7. M Abu bakar said,

    اپریل 28, 2012 بوقت: 6:45 صبح

    nice poetry

  8. khurram said,

    اپریل 14, 2012 بوقت: 1:26 شام

    Usne Mujh Se Pucha Mehfoom-e-Ghalat Fehmi…!
    Meine Kaha Aap Se Umeed-e-Wafa Rakhna
    rememberking@hotmail.com

  9. Danish said,

    اپریل 9, 2012 بوقت: 3:54 صبح

    buhat pyari poetry

  10. LUCK said,

    اپریل 3, 2012 بوقت: 5:28 صبح

    CHALL KAHIEN DOOR JA BASAIN

    YAHAIN KHULOOS K BHAO GIR GAYE

    ans me dear freind meri colection kaise lagi g 03144234254
    from salman

  11. LUCK said,

    اپریل 3, 2012 بوقت: 5:26 صبح

    Ishq Sasta Buhat Mila Tha,,

    Ishq Mahenga Buhat parha Hai…!

  12. LUCK said,

    اپریل 3, 2012 بوقت: 5:25 صبح

    MA PHOOL CHUNTI RAHI AUR MUJY KHABAR B NA HOI

    WO SHAKS A KSAY MERE SHEHAR SA CHALA B GYA

  13. LUCK said,

    اپریل 3, 2012 بوقت: 5:24 صبح

    Dekhtay hain ab k kis ki jaan jati hay…..???

    Us ny meri, main ne us ki qasam kha’ee hai…..!!

  14. BAD LUCK said,

    اپریل 3, 2012 بوقت: 5:23 صبح

    KITNA MUSHKIL KAAM KIA HA

    TUM BIN JEENA SEEHK LIYA HA

  15. Shabana Khan said,

    مارچ 31, 2012 بوقت: 10:45 صبح

    jaty jaty lota gia mujh ko mera wojod yeh saneha to mery huq main naik fal huwa

  16. bk pathan said,

    مارچ 25, 2012 بوقت: 8:55 صبح

    parveen shakir sahiba !!
    !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

    kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi
    dil ko kushi k sath sath huta raha malal bhi

    baat woh adhi raat ki raat woh pure chand ki
    chand bhi ain cheet ka aur uspe tera jamak bhi

    sab se nazar bacha ke woh mujhe kuch is tarhan se dekhta
    ek dafa tu ruk gaya gardish-e-mahoo saal bhi

    usko na pa sakey the jab dil ka ajab haal tha
    ab jo palat k dekhiye baat thi kuch muhaal bhi

    us ke baazuoon mai aur us ko hi sochte rahe
    jism ki khuwaish pe the rooh ke aur jaal bhi

    shaam ki nasamjh hawa pooch rahi hai ek pata
    mooj-e-hawa-e-ko-e-yaar kuch to mera khiyaal bhi

    meri talab tha ek shaks wo jo nahi mila tu phir
    haath dua se yuh gira bhool gaya sawal bhi

    kuch tu hawa bhi sard thi kuch tha tera khiyal bhi
    dil ko khushi ke saath saath hota raha malaal bhi

    parveen shakir sahiba !!

  17. bk pathan said,

    مارچ 25, 2012 بوقت: 8:47 صبح

    jate jate usne mere anchal se aik essa fiqra bandh diya ,,, i will miss you ,,, k sara ka sra safar khushbo main basa raha …

    parveen shakir ,,

  18. bk pathan said,

    مارچ 25, 2012 بوقت: 8:45 صبح

    i love parveen shakir ,,,

    jate jate usne mere anchal se aik essa fiqra bandh diya ,, i will miss you ,,, sara ka sara saffar khushbo main basa raha

    parveen shakir sahiba ,,,

  19. maya ali khan said,

    مارچ 13, 2012 بوقت: 3:52 صبح

    i love to read perveen shakir`s poetry..

  20. mohaiz said,

    مارچ 12, 2012 بوقت: 11:44 صبح

    KAMAAL KA PEER HA ISHQ

    CHOAR DIYA MUREED KAR K

    FROM MOHAIZ REPLY TO MY CONTACT NUM 03144234254

  21. mohaiz said,

    مارچ 12, 2012 بوقت: 11:43 صبح

    Acha Ha agar aap humare baghair Khush hain!
    Magar Yaad rakhna dost, ya khushi Aarzi hain!

  22. mohaiz said,

    مارچ 12, 2012 بوقت: 11:42 صبح

    KAR GAYA NA ISHQ BARBAAD,

    AUR GEET GAO MOHABAT K

  23. mohaiz said,

    مارچ 12, 2012 بوقت: 11:42 صبح

    Baad-e-Saba ja tu hi khabr la un ki "KHUDA” Khair Krey…..!

    Es Qadar wo meri Yaad se Gaafil Kabhi Huwa To Na Tha…!

  24. Asif bajwa said,

    فروری 28, 2012 بوقت: 3:36 شام

    Asslamoalaikum!
    Your poetry are very very intersting andyour words are touched coure from the heart i like your poetry some gazalz are very touching the heart.
    Regarde:ch asif bajwa

  25. SAMAMR HASHMI said,

    فروری 24, 2012 بوقت: 3:38 شام

    mary angan me ao toty paty to dakho plzzzzzzzzzzzzzzzzzz ye nazam kahen se bhe chaehay mujhy poet yad ni hai

  26. فروری 10, 2012 بوقت: 4:02 شام

    I love u so much i like it

  27. sajid nabi said,

    جنوری 26, 2012 بوقت: 8:38 شام

    salam hi me parvin sahker ko pasand karta hu or unki sahhri ko

  28. rimsha said,

    جنوری 24, 2012 بوقت: 12:19 شام

    plz agar kisis ka pass parveen shaker ya nazam hu tu mujhay mail kar dian ……………….pof.girls@yahoo.com
    iss sa pehlay kai mari kharki ka neehay kharay intzar kahnchuo……..

  29. shahid said,

    جنوری 16, 2012 بوقت: 10:56 شام

    u s kay honay say thy sansay mari gugni shyed.
    wo bechara jo mari umar gata di us nay
    pehlay ik lamhain ki zanjeer say bandha mujhko
    phir waqt ki raftaar berhaa di us nay
    us say kehna kay may ab gair ki malkiyat hun
    us say kehna kay buhut dayer laga di us nay
    shahid ali khan from akora khattak

  30. جنوری 16, 2012 بوقت: 7:49 شام

    Ke jinse khayi chhot
    dil ne unse gila nahi kya

    duaa hai ki hamari tarha
    na kabhi unka dil toote

    hame to chot khane ki
    aadat si hai lekin

    kabhi honthon se unke
    hansi ka daman na chhute

    jinhone sitam karne me
    na chhodi hai kaser koi

    khudaya unpe kabhi bhi
    naa koi sitam toote

  31. mister_a said,

    جنوری 16, 2012 بوقت: 11:33 صبح

    such a nyc poetry i have’nt read b4.

  32. جنوری 7, 2012 بوقت: 4:38 شام

    Chup Jati Hain Aaina Dekha Kar Teri Yaadain
    Sonay Nahi Deti Shab Bhar Teri Yaadain

    Tu Jesay Meray Pass Hay Or Maho Sukhan Hay
    Mehfil See Jama Deti Hain Akser Teri Yaadain

    Main Kyun Na Phiroo, Tapti Dhoop Main Harasaa
    Phirti Hain Tasawar Main Khulay Sar Teri Yaadain

    Jab Taiz Hawa Chalti Hay Basti Main Sar -e- Shaam
    Atraaf Say Barsati Hain Pather Teri Yaadain

  33. جنوری 7, 2012 بوقت: 4:36 شام

    jahaa.N talak bhii ye seharaa dikhaa_ii detaa hai
    merii tarah se akelaa dikhaa_ii detaa hai

    na itanaa tez chale sar-phirii havaa se kaho
    shajar pe ek hii pattaa dikhaa_ii detaa hai

    buraa naa maaniye logo.n kii aib-juu_ii kaa
    i.nhe.n to din kaa bhii saayaa dikhaa_ii detaa hai

    ye ek abr kaa Tukaraa kahaa.N kahaa.N barase
    tamaam dasht hii pyaasaa dikhaa_ii detaa hai

    vo alvidaa kaa ma.nzar vo bhigatii palake.n
    paas-e-Gubaar bhii kyaa kyaa dikhaa_ii detaa hai

    merii nigaah se chhup kar kahaa.N rahegaa ko_ii
    ke ab to sa.ng bhii shiishaa dikhaa_ii detaa hai

    simaT ke rah daye aaKhir pahaar se qad bhii
    zamii.n se har ko_ii uu.Nchaa dikhaa_ii detaa hai

    ye kis maqaam pe laa_ii hai justajuu terii
    jahaa.N se arsh bhii niichaa dikhaa_ii detaa hai

    khilii hai dil me.n kisii ke badan kii dhuup "Shakeb”
    har ek phuul suneharaa dikhaa_ii detaa hai

  34. جنوری 7, 2012 بوقت: 4:34 شام

    Salam
    bichda hai koi ek baar to milte nahi dekha
    is jakhm ko hamne kabhi silte nahi dekha

    ek baar jise chaat gayi dhoop ki khawahish
    phir shakh pe us phool ko khilte nahi dekha

    achanak gira hai to jadain tak nikal aayi
    jis ped ko aandhi main bhi hilte nahi dekha

    kanton se ghirain phool ko choom aayengi lekin
    titli ke pairon ko kabhi chilte nahi dekha

    kis tarah meri rooh hari kar gaya aakhir
    voh jahar jise jism main khilte nahi dekha

  35. mohammad irfan said,

    دسمبر 18, 2011 بوقت: 4:29 صبح

    very nice picses

  36. Amjad Amin said,

    دسمبر 17, 2011 بوقت: 7:34 صبح

    Han me vohi shakhs hon
    Dil me jis k koi khawish nhe baki

  37. M.Asif said,

    دسمبر 16, 2011 بوقت: 6:11 شام

    main tu jeeta hon faqat teri muhabbat k liye
    warna mujhe is jahan se koi dilchaspi nia

  38. M.Asif said,

    دسمبر 16, 2011 بوقت: 6:09 شام

    parveen shakir in my most dearest poetess who was real lover I am the biggest fan of parveen shakir .May God rest his soul rest in peace.Ameen. I love his poetry

  39. Malik Zeeshan said,

    دسمبر 12, 2011 بوقت: 8:21 شام

    mera maqsad bithana tha,usay jane ki jaldi thi
    mujhe dukh sunana tha,usay jane ki jaldi thi

    nahi tha waqt uske pass k sunta dastan meri
    bara lamba fasana tha usay janey ki jaldi thi

    bari muddat ki khuwaish thi magar piyasi rahi yaro
    galay usko lagana tha,usay jane ki jaldi thi

    nahi thehra wo aik lamha jo raten theher jata tha
    tallauq tu purana tha,usay jane ki jaldi thi

    main "mohsin” rokta kese k rukna tha kaha usay
    usay har haal jana tha,usay jane ki jaldi thi….!

  40. نومبر 28, 2011 بوقت: 3:47 شام

    kun kehta hai k mout ay gi aur main mar jaon ga,
    main tao darya hun samundar main utar jaon ga

    perveen shakir

    • Malik Zeeshan said,

      دسمبر 12, 2011 بوقت: 8:18 شام

      Guzre dinon ki achi batain yaad rakhta hoon,
      Khushiyon mein bhi ashkon ki baratain sath rakhta hoon,
      Mein ab aksar tanha ho kar bhi tanha nahin rehta,
      Jahan bhi rahoon teri yadain sath rakhta hoon
      Mujh ko kabhi zaroorat nahin pari mashk o atar ki,
      Tere badn ki khushbu, teri mehkti sansain sath rakhta hoon
      Kese bhool sakta hoon mein pata apne ghar ka,
      Tere kadmon ke nishan, Teri ankhen sath rakhta hoon
      Jo guzrey they bazu’on mein tere, Ehd o peimaan karte hoye
      Woh sarey din woh sari ratain sath rakhta hoon
      Woh tera mujhe se larna, roothna, Phir khud hi maan jana,
      In shararton mein chupi theen jo woh mohbtain sath rakhta hon
      Mehkte rangeen kaghzon ke khat, In mein se sajay gulaab sarey,
      Chehre pyar ki sab yeh soghatain sath rakhta hoon
      Jin per kabhi chale they hum hath mein daley hath
      Mein woh sab raste, Sab raahain sath rakhta hoon…

  41. Muhammad Awes said,

    نومبر 22, 2011 بوقت: 7:56 صبح

    very nice

  42. imran said,

    نومبر 11, 2011 بوقت: 4:49 شام

    If you have come to dominate the enemy. Imagine the enemy and the enemy face to keep in mind read this verse. without counting . then see the damages of enemy. If anyone will read theirs to see if his fate. care binding or damage.
    http://thelight101.blogspot.com/

  43. اکتوبر 26, 2011 بوقت: 8:42 شام

    salam Taimour rehman bhai
    ap k liye mein bohat jald post send kroon ga

  44. Minhaaj poet said,

    اکتوبر 26, 2011 بوقت: 5:59 شام

    Log mahobbat to karte hain lekin wfa nahi karte,
    waday bhi karte hain lekin nibha nahi skte,
    hume un logun jesa na samajhna "Minhaaj”
    hum aap se kitni mahobbat karty hain bta nahi sakte..
    03132727334

  45. Taimour REhman said,

    اکتوبر 18, 2011 بوقت: 7:36 صبح

    Tabassum G meri shadi hony wali hay aur mujy poetry boht pasand hy may apni wife ko kaisy well come kro kuch samaj nhi a raha please agar ap k pas koi nazam hay to mujy send kr dy. i love her soooooooooooooo much

  46. اگست 18, 2011 بوقت: 11:56 صبح

    Bara dushwaar hota hai
    zara sa faisla karna
    k jeevan ki kahaani ko biyaan e be-zubaani ko
    kahaan se yaad rakhna, kahaan se bhool jana hai
    ussay kitna batana hai,ussay kitna chupana hai
    kahaan ro ro k hansna hai
    kahaan hans hans k rona hai
    uss anchal k kisi konay ko kitna bhigona hai
    kahaan awaaz deni hai
    kahaan khaamosh rehna ha
    kisi dukh ko kahaan par
    koun si shiddat se kehna hai
    kahaan raasta badalna hai
    kahaan se laut aana hai
    zara sa faisla karna

  47. اگست 18, 2011 بوقت: 11:54 صبح

    Salam 2 all My ajnabi friends
    Main is page par new hoon apki post bohat nice hain.

    teri khushbu ka pata karti hai
    mujh pe ehsan hawa karti hai
    shab ki tanhai main ab to aksar
    guftagu tujh se raha karti hai
    dil ko us rah pe chalna hi nahin
    jo mujhe tujh se juda karti hai
    zindagi meri thi lekin ab to
    tere kahne main raha karti hai

  48. ASAD said,

    اگست 12, 2011 بوقت: 2:45 صبح

    nice collection…

  49. Mian Rashid said,

    اگست 11, 2011 بوقت: 11:21 صبح

    its realy a great poetry

  50. faisal ch said,

    اگست 10, 2011 بوقت: 9:30 صبح

    nice poetry

  51. Asmatullah said,

    جولائی 1, 2011 بوقت: 3:36 صبح

    Na ganwaon nawak neem kash,dil raiza raiza ganwa diya
    Jo bachai hain sang smait lo,tan e dagh dagh luta diya
    Mairai charagar ko naveed ho,Safe dushmanan ko khbar kro
    Ka ju karz rakhtai tai jaan par wahe qarz aaj uthar diya
    Kro kaj jabeen sar e kfn mairai qatelon ko guman na ho
    K ghoror ishq e bakpan pas e marg ham nai bhula diya
    Ju rukai tu kohe gran thai ham,Ju chalai tu jaan sai guzar gayai
    Rah e yar tujai qadam qadam mai nai yaad gaar bna diya

  52. Noma Asif said,

    جون 20, 2011 بوقت: 7:26 صبح

    pyar srif dhoka hai,,

    • M.Asif said,

      فروری 7, 2012 بوقت: 3:01 شام

      pyar aik anmol tofa hai khuda ki di hue naimat hai ise kabhi gawana mat warna sari zindgi pachtao ge

  53. M.Bilal said,

    جون 19, 2011 بوقت: 10:56 صبح

    Rahay ga ishq to dayem yah jahan rahay na rahaye wahan rahayen ga maza main yahan rahay na rahay qarreeb aao za ra sun lo dastan dil ki kaca khabar ha yah taba bayan rahaye na rahaye. facebook.com/saba_anmol@yahoo.com
    03004549436

  54. Muhammad Rizwan said,

    جون 19, 2011 بوقت: 6:50 صبح

    Lekin Rehne Do
    ..

    Main Tumhe Choor Ke Ja Sakta Hon

    Lekin Rehne Do ..

    Tum
    Jo Har Mor Pe Keh Dety Ho Khuda Hafiz

    Fesla Main Bhi Suna Sakta Hon

    Lekin Rehne Do ..

    Tum ne Jo Bat Ki Dil ko Dukhnay Wali

    Us
    Pe Main Muskura Sakta Hon

    Lekin Rehne Do ..

    Sharam Aye gi Tumhe
    Warna Tumhare Wade

    Main Tumhe Yaad Dila Sakta Hoon

    Lekin Rehne
    Do

  55. جون 8, 2011 بوقت: 6:48 صبح

    i love poetry of PS

    i miss u rabeel
    i dont know where r u but
    i wish 2 c u before die

    • M.Asif said,

      فروری 7, 2012 بوقت: 3:05 شام

      khuda ke liye agar kise se pyar karo tu us ke sath humesha raho uska sath mat choro please kabhi bi nahi rubab Allah kare apko apka rabeel mill jaye ameen.

  56. rubabsahar said,

    جون 7, 2011 بوقت: 7:20 صبح

    PREVEEN SHAKIR a mature thought of poetry

  57. rubabsahar said,

    جون 7, 2011 بوقت: 7:19 صبح

    ko ba ko phail gai baat SHANASHAI KI
    us ny ”KHUSHBOO” ki trha mri PEZARAI KI
    JB B GAYA LOTA TO MRY PAS AYA
    bs yhi bat achi hy mry ”HARGAI” KI

  58. AFTAB CHACHAR said,

    جون 4, 2011 بوقت: 10:56 شام

    "kamal e zabt ko khud bhi azmaongi
    me khud apne hathon se uski dulhan sajaongi”

  59. AFTAB CHACHAR said,

    جون 4, 2011 بوقت: 10:53 شام

    im fan of parveen shakir specially in that one”wo kahen bhi gaya laota tu mere pas aya”

  60. amty said,

    مئی 25, 2011 بوقت: 8:29 شام

    wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
    masla phul ka hai phul kidhar jayega

    ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
    kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

    wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
    ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

    wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
    mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

    akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
    tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

    • Mohsin Ahsan said,

      جون 2, 2011 بوقت: 12:20 شام

      Tum Jo Har Mod Pe Keh Dete Ho Khuda Hafiz….

      Faisla Main Bhi Suna Sakta Hun Lekin Rehne Do


Leave a reply to muhammad yahya nauman جواب منسوخ کریں