Sad Urdu Poetry


Baitha hoon yahan, intezaar mein teray,
Saaya mera mujh pe chilla raha hai.

Awaz aa rahi hai,
Kehti hai mujhse,
Tu apna waqt aisay kyun gawa raha hai?

Denay ko tou de doon hazaaron jawab,
Lekin mohabbat ka maara ye nazuk dil,
Ranj-o-ghum ki aatish mein pighla ja raha hai.

Ae bewafa sach kehta hoon aaj tujhse,
Jawab dena tou door ki baat,
Ab tou saans lena bhi mushkil hota ja raha hai.

======

WOH MUJH KO CHOOR KAY JIS AADMI KAY PASS GAYA
BARABRI KA BHI HOTA TO SABR AJATA……

=============

Zindagi Jis Ke Dam Se Hai Nasir…
Yad Oski Azab e Jan Bhe Hai…!!!

==========

Yaar Ko Deeda-e-Khonbar Se Oojhal Kar Ke
Yaani Mujhe Halaaat Ne Maara Hai Mukammal Kar Ke

Yaani Tarteebe Karam Ka Bhi Saleeqa Tha Usse
Uss Ne Patthar Bhi Utthaaya Mujhe Paagal Kar Ke
====

Jurm-e-Ikhhlaas Ki Aise Bhi Sazaa Dete’n Hain
Log Apno’n Ko Bhi Nazro’n Se Gira Dete’n Hain

Todd Lete’n Hain Ik Pal Mein Sab Rishte Naate
Sadiyo’n Ki Rafaaqat Ko Bhoola Dete’n Hain

Tukdde Karte’n Hain Mohabbat Ke Tehreero’n Ke
Duur Jaa Ke Kahin Paani Mein Bahaa Dete’n Hain

Ana Ke Naam Par Behan Aur Beti Ko Bhi
Aag Mein Jhoonk Kar Zinda Jala Dete’n Hain

Jurm Toh Jurm Hai Woh Chaahe Mohabbat Ka Ho
Log Nishaana Khaloos Ko Bhi Bana Dete’n Hain

Jin Pe Karte Hain Wafaao’n Ka Bharosa Hum
Dost Ban Ke Rishte Mein Dagha Dete’n Hain

Tum Kahaan Yaad Rakho Ge Hamein Ibn-e-Aadam
Hum Tumhe’n Apne Dil Mein Jagah Dete’n Hain

Jab Yeh Likhte’n Hain Mohobbat Ki Kahaani
Shama Ki Chaah Mein Parwaana Jala Dete’n Hain

===

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar,
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,

Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua,
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,

Main teri ghazal to nahi hun jo, har ik kay lab per saji rahun,
Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar,

Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main,
Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar

5 تبصرے

  1. جولائی 25, 2012 بوقت: 6:15 شام

    Ho ijazat tou tum say aik baat puchoon??

    Jo hum say ishq seekha tha woh ub tum kis say kertay ho0 ??

  2. kamran said,

    جون 14, 2012 بوقت: 5:24 صبح

    so0 nicEeee

  3. Ahmad said,

    جون 11, 2012 بوقت: 8:21 شام

    meri ankhoN maiN nami ka hi samaN rehta hai
    dil maiN ek dard jo muddat se jawaN rehta hai

    woh jo kehta tha keh bechhreN gai to mar jaye gaiN
    ab yeh maloom nahi hai keh kahan rehta hai

    ek os ko meri chahat ki zaroorat na rahi
    warna mera to talabgar jahaN rehta hai

    woh samajhta hai keh mai bhool gaya hun os ko
    khud se bhi ziyada mujhe jis ka dhiyaN rehta hai

    yu udasi mere sar per hai mussalat jese
    jese dil pe koi zakhmoN ka nishaN rehta hai…………….

  4. Ahmad said,

    جون 11, 2012 بوقت: 8:21 شام

    سورج روز ہی جیتے مرتے رہتے ہیں
    لوگ بھی ان کی پوجا کرتے رھتے ھیں
    جانے کون انائ موت مرا ھے پھر
    اب بستی کے باسی ڈرتے رھتے ھین
    جگمگ جگمگک کرتے شھرون کے اندر
    کیون آنکہون مین پانی مرتے رہتے ھین
    یہ باتین تو پھلے سوچنے والی تھین
    لوگ تو لوگ ھین باتین کرتے رھتے ہین
    اس سے بہتر اور طریقہ کیا ھو گا
    ہم الزام کسی پہ دھرتے رہتےہیں
    جب سے اترا گرم لبادہ جزبون کا
    سوچ کے ننھے بچے ٹھرتے رھتےہیں

  5. Ahmad said,

    جون 11, 2012 بوقت: 8:21 شام

    جدائی کی اذیت سے
    میرا دل اب بھی ڈرتا ہے
    جدائی دو گھڑی کی ہو
    تو کوئی دل کو سمجھائے
    جدائی چار پل کی ہو
    تو کوئی دل کو بہلائے
    جدائی عمر بھر کی ہو
    تو کیا چارہ کرے کوئی
    کہ اِک ملنے کی حسرت میں
    بھلا کب تک جئے کوئی
    میرے مولا کرم کر دے
    تُو ایسا کر بھی سکتا ہے
    میرے ہاتھوں کی جانب دیکھ
    انہیں تو بھر بھی سکتا ہے


Leave a Reply / Ap ka pegham