Iqbal Azeem’s Poetry Collection

Body Language

Iqbal Azeem

Yeh nigaah-e-husn jhukee jhukee, yeh jabeen-e-naaz dhuaaN dhuaaN
Meray bas ki ab naheeN daastaaN, mera kaaNpta hai ruaaN ruaaN

Ho tilism-e-aalaam-e-raNg o boo, ke hareem-e-anjum o kehkashaaN
Mera saath dey gee mery nazar, woh chhupeiN ge jaa ke kahaaN kahaaN?

Meray dil pe naqsh haiN aaj tak woh ba ehtiyaat nawaazisheiN
Woh Ghuroor o zabt ‘ayaaN ‘ayaaN, woh Khuloos o rabt nehaaN nehaaN

Na safar ba shart-e-ma-aal hai, na talab baqaid-e-sawaal hai
Faqat aik sairy-e-zauq ko, maiN bhaTak raha huN kahaaaN kahaaN

Mery KhilwatoN ki ye jannateiN kayee baar saj ke ujaR chukeeN
Mujhay baarha ye huwa gumaaN, ke tum aa rahey jo kashaaN kashaaN

HaiN hunooz yaad woh qurbateiN, woh neyaaz o naaz woh sohbateiN
Woh tuloo’-e-subha Khunuk Khunuk, woh fizaa-e-shaam jawaaN jawaaN

Yeh taKhayyulaat ki zindagee, yeh tasawwuraat ki bandagee
Faqat ek faraib-e-Kheyaal par mery zindagee hai rawaaN dawaaN

===
Hum nay mana is zamanay maiN hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai

Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai

Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai

Iss say pehlay zindagi main itni pabandi na thi
ab to jaisay khud wajood-e-zindagi bhi jurm hai

Aadmi is zindagi say bach kay jaeey bhi kahaan
Maikashi bhi jurm hai aur khud kushi bhi jurm hai

Aik saaghar kay liyay jo baich dain apna zameer
Aisay rindooN kay liyay tashna labee bhi jurm hai

Apni baynoori ka hum Iqbal maatum kion karain
Aaj kay halaat main deeda waree bhi jurm hai

======
kya tha zara si dair main kya ho gaya koi
do din juda raha tau naya ho gaya koi

wo bhi mujhe aziz tha main bhi usey aziz
phir jane kiya huwa k khafa ho gaya koi

meri nazar nay us ko khad-o khaal dey dye
zehra jamaal-e sheh’r-e saba ho gaya koi

mehfil main tha tau chaand ki soorat sabeeh tha
tanha mila tau rung-e hina ho gaya koi

is khush ada guraiz k qurbaan jaai’yye
mujh ko salaam kar k hawa ho gaya koi

ilzaam hum pe aaya k hum musta’id na thai
jab bhi kisi ka teer khata ho gaya koi

mujh jaise be-nawa ko nawaza ba-sadd khuloos
yoo’n bhi barha tha aur barha ho gaya koi

=========

Qata of Marhoom Iqbal Azeem


Chahat ki dastaan hai zatee muamla
torha hai kisne ehd e wafa ye na poochhna
ham se wafa ke bare mai jo chahe poochh lo
lekin wafa ki kya hai saza ye na poochhna

Urdu Poetry Art Collection [3]

This best Urdu Poetry Art Collection part 3

Hazrat Jon Elia (Jaun allia) ki Shayari

Chand Gazal or Ashaar apki khidmat main..

Aapp bhi share karain comment main…

Shukria..

 

rishta-e-Dil tere zamaane mein
rasm hi kya nibahni hoti
muskuraaye hum us se miltay waqt
ro na paRtay agar khushi hoti?

meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanche mein junoo.n kay Dhaal deen
kar liya tha main ne ehd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahe.n gale mein Daal deen

sharm, dehshat, jhijhak, pareeshani
naaz se kaam kiun nahin letin
"aap”, "woh”, "ji”,”magar” yeh sab kya hai
tum mera naam kyun nahin letin

hai mohabbat hayaat ki lazzat
warna kuchh lazzat-e-hayaat nahin
kya ijazat hai aik baat kahun
woh…magar khair koi baat nahin

ehd-e-waabastagi guzaar kay main
wajh-e-waabastagi ko bhool gaya
yaani tum woh ho! waaqai? Had hai!
main to sach much sabhi ko bhool gaya!

ajab tha us ki dildaari ka andaaz
woh barson baad jab mujhse mila hai
bhala main poochhta us se to kaise
mataa-e-jaa.n tumhara naam kya hai?

saal ha saal aur aik lamha
koi bhi to na in mein bal aaya
khud hi ik dar pe main ne dastak di
khud hi laRka sa main nikal aaya


hai yeh baazaar jhoo ka baazaar
to yahi jins kiun na tole.n hum
kar kay ik doosray se ehd-e-wafa
aao kuchh dair jhooT bole.n hum

Jaun Elia

=============

 

ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n
dhuup the saayabaa.N ke the hii nahii.n

raaste kaaravaa.N ke saath rahe
marhale kaaravaa.N ke the hii nahii.n

 

=====

 

hum to jaisey wahaan key they hi nahin
dhoop they sayaban key they hi nahin

raastey karavan key sath rahey
marhaley karavan key they hi nahin

ab hamara makaan kis kaa hai
hum to apaney makaan key they hi nahin

in ko aandhi main hi bikharna tha
baal-o-par yahan key they hi nahin

us gali ney yeh sun ke saber kiya
janey waley yahan key they hi nahin

ho teri Khak-e-astan pey salaam
ham terey astan key they hi nahin

 

==============

 

 

 

har baar mere saamane aati rahi ho tum
har baar tum se mil ke bicharrtaa rahaa hooN main
tum kaun ho ye Khud bhii nahin jaanati ho tum
main kaun hooN ye Khud bhii nahin jaanataa hooN main
tum mujh ko jaan kar hi parri ho aazaab mein
aur is tarah Khud apani sazaa ban gayaa hooN main

tum jis zamiin par ho main us kaa Khudaa nahin
bas sar basar aziiyat-o-aazaar hi raho
bezaar ho ga_ii ho bahut zindagii se tum
jab bas mein kuchh nahiin hai to bezaar hii raho
tum ko yahaaN ke saayaa-e-partau se kyaa Garaz
tum apane haq men bich ki divaar hi raho

 

 

======

main ibtadaa-e-ishq mein bemahar hii rahaa
tum intahaa-e-ishq kaa miyaar hii raho
tum Khoon thokati ho ye sun kar Khushii hoi
is rang is adaa mein bhi pur_kaar hii raho

main ne ye kab kahaa thaa ke muhabbat mein hai najaat
main ne ye kab kahaa thaa ke vafadaar hii raho
apanii mataa-e-naaz luTaa kar mere liye
baazaar-e-iltafaat mein naadaar hi raho

jab main tumhen nishaat-e-muhabbat na de sakaa
Gam mein kabhii sukuun-e-rafaaqat na de sakaa
jab mere saare charaaG-e-tamannaa havaa ke hain
jab mere saare Khvaab kisii bevafaa ke hain
phir mujhe chaahane kaa tumhen ko_ii haq nahin

Saeed Khan’s Poetry – Ghazals Collection

Saeed Khan ki Poetry onki Ghazals ka Collection

Designed Urdu Shayari Images by DD Artist Falak ( Creative Collection )

This time I present you one of most creative designer from DD forums Falak, her work is outstanding and deserves  appreciation…below is her hand picked  best Urdu art designed poetry 🙂

Chaley b Aayo By Atif Saeed !!!

Wafa By Dr. Alama Muhammad Iqbal !!!

Read the rest of this entry »

Mirza Ghalib Urdu Poetry Collection

The Mirza Ghalib – Mirza Asadullah Baig Khan
Mirza Ghalib

Zulmat kade mein mere shab-e-gham ka josh hai…
Ek shamaa hai daleel-e-sahar, so khamosh hai…
In the world of darkness , There is spirit of my night of sadness…
One candle which is proof of morning , is silent too…
Na hi muzda-e-wisaal na nazaara-e-jamaal…
Muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai…
Neither is the good news of meeting nor sight of the beauty…
Its long while, that last heard or saw my beloved…
Maiy ne kiya hai, husn-e-qudaara ko behijaab…
Aye shauq, yahan ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai…
Wine has lifted the veil of the fake beauty of the self adorer..
Oh desire here you are just permission of greeting of a mind…
Gauhar ko ikd-e-gardan-e-qubaan mein dekhna…
Kya auj par sitaara-e-gauharfarosh hai…
Saw the pearl in the necklace of the my beloved…
At what a summit the star of the pearl merchant is…
Deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast…
Bazm-e-qayaal maikada-e-beqarosh hai…
Appearance , promise , courage , wine disperser , a beautiful sight…
At the meeting of thought the bar is quite dead…
Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat nigaah ho…
Meri suno jo gosh-e-naseehat niyosh hai…
Look at me the if your eyes poccess sight of admonition…
Listen to me if you have the ear of the advice listener..
Daagh-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee huvi…
Ek shamaa reh gayi hai so wo bhi qamosh hai…
Stain of saperation of company of night is burnt…
One candle is left and that too is silent…
Aate hain ghaib se ye mazaameen qayaal mein…
‘GHALIB’, sareer-e-qaama nawa-e-sarosh hai….
Comes mysteriously such thoughts in my mind that…
GHALIB , scratching sound made by pen is the voice of an angel…

==================== Read the rest of this entry »

Parveen Shakir Poetry Collection

Image

1

2

3
Dast basta shehr main kholay meri zanjeer
koun
Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun
Mera sar haazir
hay lekin mera munsif dekh lay
Kar raha hay meri fard0e0jurm ko tehreer
koun

Meri chaadar toh chinni thee shaam ki tanhaayee main
Be-riddayii
ko meri phir dey gaya tash-heer koun

Neend jub kawbon sey pyari ho toh
aisey ehd main
Khawb dekhay koun aur khawbon ki dey taabeer koun

Rait
abhi pichlay gharondon sey na wapis ayee thee
Phir lab-e-saaahil gharonda kar
gaya taameer koun

Dushmano kay sath merey dost bhi azaad hain
Dekhna
hay kheenchta hay mujh pay pehla teer
koun

*******************

4

!! Tujh se koi gilla nahin hai !!
!! Qismat main meri silla nahin
nahi !!

!! Bichar ke to na-janey kia haal ho !!
!! Jo
shakhs abhi milla nahi hai!!

!! Jeeney ki to aarzu hi kab thi
!!
!! Marney ka bhi hosla nahin hai
!!

!! Jo zeest ko mu-tabir bana dey !!
!! Aesa koi silsila
nahin hai !!

!! Khushboo ka hisaab ho chuka!!
!! Aur phool
abhi khilla nahi hai !!

!!
Sershaari-e-rehbari main dekha !!
!! Peechy mera qafilla nahin hai
!!


Read the rest of this entry »

Famous Urdu Poetry Collection

Picked Famous Urdu Poetry Collection

Itni gehri tareeki main
hath pakar kar chalne wala
koi agar sath hota to tum hote …
dekho tum jo sath nahi to
mut’thi bhar yaadon ke jugnu
kab tak mere sath chaley gain ..

————————-

Ye Jo Bikhra Bikhra Sa Shaks Hai …

Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan

kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa

kbhi dastaras k qareeb qareeb

kbhi door … paas … kahin nahi

ye jo ukhra ukhra sa shaks hai

ye jo bikhra bikhra sa shaks hai

Read the rest of this entry »

Designed Urdu Poetry Collection!

Designed Urdu Poetry

Designed Urdu Poetry


Designed Urdu Poetry