Iqbal Azeem’s Poetry Collection

Body Language

Iqbal Azeem

Yeh nigaah-e-husn jhukee jhukee, yeh jabeen-e-naaz dhuaaN dhuaaN
Meray bas ki ab naheeN daastaaN, mera kaaNpta hai ruaaN ruaaN

Ho tilism-e-aalaam-e-raNg o boo, ke hareem-e-anjum o kehkashaaN
Mera saath dey gee mery nazar, woh chhupeiN ge jaa ke kahaaN kahaaN?

Meray dil pe naqsh haiN aaj tak woh ba ehtiyaat nawaazisheiN
Woh Ghuroor o zabt ‘ayaaN ‘ayaaN, woh Khuloos o rabt nehaaN nehaaN

Na safar ba shart-e-ma-aal hai, na talab baqaid-e-sawaal hai
Faqat aik sairy-e-zauq ko, maiN bhaTak raha huN kahaaaN kahaaN

Mery KhilwatoN ki ye jannateiN kayee baar saj ke ujaR chukeeN
Mujhay baarha ye huwa gumaaN, ke tum aa rahey jo kashaaN kashaaN

HaiN hunooz yaad woh qurbateiN, woh neyaaz o naaz woh sohbateiN
Woh tuloo’-e-subha Khunuk Khunuk, woh fizaa-e-shaam jawaaN jawaaN

Yeh taKhayyulaat ki zindagee, yeh tasawwuraat ki bandagee
Faqat ek faraib-e-Kheyaal par mery zindagee hai rawaaN dawaaN

===
Hum nay mana is zamanay maiN hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai

Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai

Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai

Iss say pehlay zindagi main itni pabandi na thi
ab to jaisay khud wajood-e-zindagi bhi jurm hai

Aadmi is zindagi say bach kay jaeey bhi kahaan
Maikashi bhi jurm hai aur khud kushi bhi jurm hai

Aik saaghar kay liyay jo baich dain apna zameer
Aisay rindooN kay liyay tashna labee bhi jurm hai

Apni baynoori ka hum Iqbal maatum kion karain
Aaj kay halaat main deeda waree bhi jurm hai

======
kya tha zara si dair main kya ho gaya koi
do din juda raha tau naya ho gaya koi

wo bhi mujhe aziz tha main bhi usey aziz
phir jane kiya huwa k khafa ho gaya koi

meri nazar nay us ko khad-o khaal dey dye
zehra jamaal-e sheh’r-e saba ho gaya koi

mehfil main tha tau chaand ki soorat sabeeh tha
tanha mila tau rung-e hina ho gaya koi

is khush ada guraiz k qurbaan jaai’yye
mujh ko salaam kar k hawa ho gaya koi

ilzaam hum pe aaya k hum musta’id na thai
jab bhi kisi ka teer khata ho gaya koi

mujh jaise be-nawa ko nawaza ba-sadd khuloos
yoo’n bhi barha tha aur barha ho gaya koi

=========

Qata of Marhoom Iqbal Azeem


Chahat ki dastaan hai zatee muamla
torha hai kisne ehd e wafa ye na poochhna
ham se wafa ke bare mai jo chahe poochh lo
lekin wafa ki kya hai saza ye na poochhna

Saeed Khan’s Poetry – Ghazals Collection

Saeed Khan ki Poetry onki Ghazals ka Collection

Parveen Shakir – Ikhtilaaf

Agarche Tujh Se Bohat Ikhtilaaf Bhee Na Howa
Magar Ye Dil Teri Jaanib Se Saaf Bhee Na Howa

Taaluqaat Ke Barzakh Mein Hee Rakha Mujhko
Wo Mere Haq Mein Na Tha Aur Khilaaf Bhee Na Howa

Ajab Tha Jurm-e-Mohabbat Ke Jis Pe Dil Ne Mere
Saza Bhee Paayi Nahee Aur Maaf Bhee Na Howa

Malaamaton Mein Kahan Saans Le Sakain Ge Wo ?
Ke Jin Se Ko-e-Jafa Ka Tawaaf Bhee Na Howa

Ajab Nahee Hai Ke Dil Per Jami Masli Kaayi
Bohat Dinon Se Tou Ye Houz Saaf Bhee Na Howa

Hawa-e-Deher ! Humain Kis Liye Bujhaati Hai ?
Humain Tou Tujh Se Kubhi Ikhtilaaf Bhee Na Howa

Jaun Elia ki Shayari Collection

Jaun Elia kay Chand Ashaar apki nazar..

Main Kya Hon, Bas Ek Malal-e-Maazi …
Us Shakhs Ko Haal Chahiye Tha…!!! ♥

میں کیا ہوں بس اک ملال ء ماضی
اُس شخص کو حال چاہئے تھا

===

Shaam Hai Kitni Be-Tapaak, Sheher Hai Kitna Sehem Naak !
Ham Nafso! Kahan Ho Tum, Janay Ye Sab Kidher Gaye !!!! ♥

شام ہے کتنی بے تپاک، شہر ہے کتنا سہم ناک
ہم نفسو! کہاں ہوں تم، جانے یہ سب کدھر گئے
Read the rest of this entry »

غم ھے یا خوشی ھے تو – Nasir Kazmi

غم ھے یا خوشی ھے تو
میری زندگی ھے تو

آفتوں کے دور میں
چین کی گھڑی ھے تو

میری رات کا چراغ
میری نیند بھی ھے تو

میں خزاں کی شام ھوں
رُت بہار کی ھے تو
Read the rest of this entry »

Dil Mein Ek Lehar Si Uthi Hai Abhi by NAsir Kazmi & Ghulam ALi

Gazal by NAsir Kazmi


دل میں ایک لہر سی اُٹھی ہے ابھی
کوئی تازہ ہوا چلی ہے ابھی

شور برپا ہے خانۂ دِل میں
کوئی دیوار سی گِری ہے ابھی
Read the rest of this entry »

Naraz Shayari in Urdu Poetry

Ek Yaar Khafa Hai Humse
Woh Pyaar khafa Hai Humse
Ek Zindagi Tha Jo Meri,
Woh Dildar Khafa Hai Humse

Kehta Tha Woh Humse
Na Khafa Hoga Kabhi Humse
Bichad Bhi Jayen Jeevan Mein
Na Hoga Juda kabhi Dilse
Read the rest of this entry »

Ibn e Insha Poetry Ghazal – Is Sham wo Rukhsat ka Sama

Ibn e Insha Poetry in Roman Urdu

Is Sham wo Rukhsat ka Sama Yaad rahe ga
Wo Shehar, wo koocha, Wo Makaa’n yad rahe ga

Wo Tees K ubhri thi idhar Yaad rahe gi
Wo dard k Utha tha Yaha Yaad rahe ga

Hum Shoq k Sholey ki Lapak Bhool bhi Jayein
Wo Shama Fasoorda Ka Dhuwa yad rahe ga

Haan Bazm-e-Shabana mein Hume Shoq Jo is din
Hum to Teri Janib -e- nigraa’n yaad rahe ga

Kuch meer k Abiyat thay , Kuch FAIZ k Misray
Ik dard ka tha Jin mein Biyaa’n Yaad rahe ga

Jaa’n Bakhash si is Barg -e- gull taar ki Tarawat
Wo Lamas Aazeez-o-Do Jahaa’n yaad rahe ga

Hum Bhool sake hain Na Tujhe Bhool sakein gey
Tu yaad rahe ga , Hume Haan Yaad rahe ga Read the rest of this entry »

Nasir Kazmi Poetry (Shayari)

Dayar e Gair Mein Kese – Wasi Shah Bewafai Ghazal

Dayar-e- Gair Mein Kese Tujhy Sada Detay….
Tu Mil Bhi Jata Tou Tujhy Gawa Detay….
Tumhi Ny Humko Sunaya Na Apna Dukh Warna….
Dua Wo Karty Kay Hum Apna Aasman Hila Detay….
Wo Tera Gham Tha Kay Taseet Mere Lehje Ki….
Kay Jisko Haal Sunaty Usy Rula Detay….
Tumhe Bhulana Hi Awal To Dastras Mein Nahi….
Jo Ikhtyar Bhi Hota Tou Kya Bhala Detay….
Tumhari Yaad Ne Koi Jawab Hi Na Diya….
Mere Khayal Kay Aansoo Rahy Sada Detay…. Read the rest of this entry »