Sab Maya hai. سب مایا ہے Ibne Insha

urdu ghazal

Ibn e Insha Poetry Ghazal – Is Sham wo Rukhsat ka Sama

Ibn e Insha Poetry in Roman Urdu

Is Sham wo Rukhsat ka Sama Yaad rahe ga
Wo Shehar, wo koocha, Wo Makaa’n yad rahe ga

Wo Tees K ubhri thi idhar Yaad rahe gi
Wo dard k Utha tha Yaha Yaad rahe ga

Hum Shoq k Sholey ki Lapak Bhool bhi Jayein
Wo Shama Fasoorda Ka Dhuwa yad rahe ga

Haan Bazm-e-Shabana mein Hume Shoq Jo is din
Hum to Teri Janib -e- nigraa’n yaad rahe ga

Kuch meer k Abiyat thay , Kuch FAIZ k Misray
Ik dard ka tha Jin mein Biyaa’n Yaad rahe ga

Jaa’n Bakhash si is Barg -e- gull taar ki Tarawat
Wo Lamas Aazeez-o-Do Jahaa’n yaad rahe ga

Hum Bhool sake hain Na Tujhe Bhool sakein gey
Tu yaad rahe ga , Hume Haan Yaad rahe ga Read the rest of this entry »

Ibn e Insha ki Shayari – Desinged Urdu Ghazal