Mirza Daagh Dehalvi Urdu Ghazal

Hum to faryaad-o-fughaan,aah-o-bakaa kartey hain
Jin se kuch ho nahin sakta,woh dua kartey hain

Khauf-e-mehshar se,woh kab tark-e-jafa kartey hain!
Bohat is tarah ke hungaamey hua kartey hain

Khoob khush baash guzar,ehl-e-safa kartey hain
Na khafa hotey hain aisey,na khafa kartey hain

Aik andaaz-e-sukhan,tarz-e-shikaayat thehri
Hum juda kartey hain shikway,woh juda kartey hain
Read the rest of this entry »

Dard Poetry – Urdu Dard Shayari

Koi Wada na karna Sath Ka..
Wadey Aksar Tod Diye Jate hian..

Sath Dena Ho To Dena Umar Bhar Ka..
Do Pal Ka Sath To Musafir Bhi De Diya Karte Hain..

==

Ajnabi Khawahish Seeney Mein Daba Bhi Na Sakon..
Aise Ziddi Hain Parinde K Uraa Bhi Na Sakon,

Phoonk Daloon Ga Kisi Roz Main Dil Ki Duniya..
Ye Tera Khat To Nahi Hai K Jala Bhi Na Sakon,

Meri Ghairat Bhi Koi Shay Hai K Mehfil Mein Mujhe..
Us Ne Is Tarah Bulaya Hai K Ja Bhi Na Sakon, Read the rest of this entry »

Wasi Shah Poetry – Urdu Gazals

Tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga

ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga Read the rest of this entry »

Ibn e Insha Poetry Ghazal – Is Sham wo Rukhsat ka Sama

Ibn e Insha Poetry in Roman Urdu

Is Sham wo Rukhsat ka Sama Yaad rahe ga
Wo Shehar, wo koocha, Wo Makaa’n yad rahe ga

Wo Tees K ubhri thi idhar Yaad rahe gi
Wo dard k Utha tha Yaha Yaad rahe ga

Hum Shoq k Sholey ki Lapak Bhool bhi Jayein
Wo Shama Fasoorda Ka Dhuwa yad rahe ga

Haan Bazm-e-Shabana mein Hume Shoq Jo is din
Hum to Teri Janib -e- nigraa’n yaad rahe ga

Kuch meer k Abiyat thay , Kuch FAIZ k Misray
Ik dard ka tha Jin mein Biyaa’n Yaad rahe ga

Jaa’n Bakhash si is Barg -e- gull taar ki Tarawat
Wo Lamas Aazeez-o-Do Jahaa’n yaad rahe ga

Hum Bhool sake hain Na Tujhe Bhool sakein gey
Tu yaad rahe ga , Hume Haan Yaad rahe ga Read the rest of this entry »

Urdu Love Poetry

Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai
Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai

Na Muzda-E-Visaal Na Nazaara-E-Jamaal
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai

Mai Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be Hijaab
Ae Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai

Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna
Kya Auj Par Sitara-E-Gauharfarosh Hai

Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai

Ae Taaza Vaaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil
Zinhaar Gar Tumhen Hawas-E-Na-O-Nosh Hai

Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai

Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai

Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat
Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gulfarosh Hai

Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai

Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Main
Naa Vo Suruur-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai

Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui
Ik Shamma Rah Gai Hai So Vo Bhi Khamosh Hai

Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Main
‘Ghalib’, Sarir-E-Khaama Navaa-E-Sarosh Hai

====
Urdu Love Poetry
Zikr Us Parivash Ka, Aur Phir Bayaan Apna
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna
Read the rest of this entry »