2line Urdu Poetry

:Please post your two line poetry in comments section below:

 

aj lafz nai mere kol
ni kinj dsa dil da haal
bs chup ne jindra laya hai
hun takni waqt di chaal….$
__________________
ღღ╚►<~Bakhsh dyi gunah mere Hun ni shikwa koi . .

Anjamme c supne mere Tahi tuttan te dard na hoi..!!!!! ~>◄╝ღღ

hawava, rahwa, chann , suraj sab ton pta pucheya …..

tera sirnava chandra e kise nal yari nahi rakhda …….


bohat nafrat bhari thi us jalim k liya sine me

saab piyar me badal gayi jab us ne piyar se fir bulayia


mudta veet gayian aw chup rehnde-rehnde…
koi sunda tan asi v kuj keh dinde..
__________________

Unhe hum yaad ate hain fursat ke Lamhon main,
Par yeh bhi sach hai, Unhain fursat nahi milti ..!


Rabba ehne dukh na devi ki main rull jaawa…
te ehne sukh na deviki main tenu bhul jaawa…


rabba inna kuj ditta tu tera sukar har dam karda haan
tere asre ish nirmohi dunia vich sadk naal turda haan
__________________
kuj pal de piyar ne zindgi da hisaab kar ta
kuj smaa yaadan kuj pal nashe vich warwaad kar ta
unj na piyar miliya na nashne vich reh sakiya
par KUJ DITTA JARROR OS DE PIYAR NE
DEKH "BANGER”ajj tenu mehlian vich mashoor kar ta.

=================================

tumhe yaad karna ab dil ka dhadkna sa ho gaya hai
jispal tum yaad nahi aate dil ki dhadkan ruk si jati hai

=================================

“dard ko dil me sambhaalane ka hosaala hum me nhi…
k ab tuut kar ankho se tere bewafaai nikali hai…..”

=================================

Ab uthte hai haath dua me faqat teri hi khatir sanam
K khud se koi arZoo na rahi ik tujhse mohabbat k baad,,

Mirza Daagh Dehalvi Urdu Ghazal

Hum to faryaad-o-fughaan,aah-o-bakaa kartey hain
Jin se kuch ho nahin sakta,woh dua kartey hain

Khauf-e-mehshar se,woh kab tark-e-jafa kartey hain!
Bohat is tarah ke hungaamey hua kartey hain

Khoob khush baash guzar,ehl-e-safa kartey hain
Na khafa hotey hain aisey,na khafa kartey hain

Aik andaaz-e-sukhan,tarz-e-shikaayat thehri
Hum juda kartey hain shikway,woh juda kartey hain
Read the rest of this entry »

Allama Iqbal Ghazal

Allama Iqbal
Zahir Ki Ankh Se Na Tamasha Kare Koi
Ho Dekhna To Deeda-i- Dil wa kare koi

Mansoor Ko Howa Lab-e-Goya Payam-e-Mout
Ab kiya Kisi Ke Ishq Ka Dawa Kare Koi
Read the rest of this entry »

Jinhain Saleeka hai

Image

by نیرشھزاد

غم ھے یا خوشی ھے تو – Nasir Kazmi

غم ھے یا خوشی ھے تو
میری زندگی ھے تو

آفتوں کے دور میں
چین کی گھڑی ھے تو

میری رات کا چراغ
میری نیند بھی ھے تو

میں خزاں کی شام ھوں
رُت بہار کی ھے تو
Read the rest of this entry »

Dil mein ek laher si utthi hai abhi – Nasir Kazmi Ghazal

Saghar Siddiqui’s Poetry – Urdu Shayari

Famous Urdu Poetry Collection

Picked Famous Urdu Poetry Collection

Itni gehri tareeki main
hath pakar kar chalne wala
koi agar sath hota to tum hote …
dekho tum jo sath nahi to
mut’thi bhar yaadon ke jugnu
kab tak mere sath chaley gain ..

————————-

Ye Jo Bikhra Bikhra Sa Shaks Hai …

Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan

kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa

kbhi dastaras k qareeb qareeb

kbhi door … paas … kahin nahi

ye jo ukhra ukhra sa shaks hai

ye jo bikhra bikhra sa shaks hai

Read the rest of this entry »

Behtreen Urdu Ashaar / Shayari

Dard ki shiddat se sharminda nahi meri wafa
Dost gehrey thai to unkey zakhm bhi gehrey lagey

————-
Mohabbat ki hado’n ko paa gaya hoo’n
Mai uskey darr se wapas aa gaya hoo’n

————————————————

Ye Moajza bhi kisi ki dua sa lagta hai
Ye shehr abb bhi usi be wafa ka lagta hai

———

JO KHAYAL THAY NA QAYAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY
MERI ZINDAGI KEE JO AAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JINHAIN MAANTA HEE NAHEEN YEH DIL, WAHEE LOG HAIN MAIRAY HUMSAFAR
MUJHAY HAR TARAH SAY JO RAAS THAY WAHEE LOG MUJH SAY BICHAR GAYAY

MUJHAY LAMHA BHAR KEE RAFA'QATON KAY AZAB AUR SATAYAINGAY
MERI UMR BHAR KEE JO PIYAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

YEH KHAYAL SAARAY HAIN AARZI, YEH GULAB SAARAY HAIN KAAGHZI
GUL-E-AARZO KEE JO BAAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JINHAIN KAR SAKA NAAA QABOOL MAIN, WOH SHAREEQ-E-RAAH SAFAR HUWAY
JO MERI TALAB MERI AAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

YEH JO RAAT DIN JO MAIRAY SAATH HAIN WAHEE AJNABI KAY HAIN AJNABEE
WOH JO DHARKANON KEE ASAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

—————–

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi

Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi

Qurbat Kay Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash
Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Kay Baad Bhi

Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahein Pay Hai
Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Kay Baad Bhi

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Ussay Adeem
Dil Ka Tamam Haal Sunanay Kay Baad Bh

Designed Urdu Poetry Collection!

Designed Urdu Poetry

Designed Urdu Poetry


Designed Urdu Poetry

« Older entries