Chand Gazal or Ashaar apki khidmat main..
Aapp bhi share karain comment main…
Shukria..
rishta-e-Dil tere zamaane mein
rasm hi kya nibahni hoti
muskuraaye hum us se miltay waqt
ro na paRtay agar khushi hoti?
meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanche mein junoo.n kay Dhaal deen
kar liya tha main ne ehd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahe.n gale mein Daal deen
sharm, dehshat, jhijhak, pareeshani
naaz se kaam kiun nahin letin
"aap”, "woh”, "ji”,”magar” yeh sab kya hai
tum mera naam kyun nahin letin
hai mohabbat hayaat ki lazzat
warna kuchh lazzat-e-hayaat nahin
kya ijazat hai aik baat kahun
woh…magar khair koi baat nahin
ehd-e-waabastagi guzaar kay main
wajh-e-waabastagi ko bhool gaya
yaani tum woh ho! waaqai? Had hai!
main to sach much sabhi ko bhool gaya!
ajab tha us ki dildaari ka andaaz
woh barson baad jab mujhse mila hai
bhala main poochhta us se to kaise
mataa-e-jaa.n tumhara naam kya hai?
saal ha saal aur aik lamha
koi bhi to na in mein bal aaya
khud hi ik dar pe main ne dastak di
khud hi laRka sa main nikal aaya
hai yeh baazaar jhoo ka baazaar
to yahi jins kiun na tole.n hum
kar kay ik doosray se ehd-e-wafa
aao kuchh dair jhooT bole.n hum
Jaun Elia
=============
ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n
dhuup the saayabaa.N ke the hii nahii.n
raaste kaaravaa.N ke saath rahe
marhale kaaravaa.N ke the hii nahii.n
=====
hum to jaisey wahaan key they hi nahin
dhoop they sayaban key they hi nahin
raastey karavan key sath rahey
marhaley karavan key they hi nahin
ab hamara makaan kis kaa hai
hum to apaney makaan key they hi nahin
in ko aandhi main hi bikharna tha
baal-o-par yahan key they hi nahin
us gali ney yeh sun ke saber kiya
janey waley yahan key they hi nahin
ho teri Khak-e-astan pey salaam
ham terey astan key they hi nahin
==============
har baar mere saamane aati rahi ho tum
har baar tum se mil ke bicharrtaa rahaa hooN main
tum kaun ho ye Khud bhii nahin jaanati ho tum
main kaun hooN ye Khud bhii nahin jaanataa hooN main
tum mujh ko jaan kar hi parri ho aazaab mein
aur is tarah Khud apani sazaa ban gayaa hooN main
tum jis zamiin par ho main us kaa Khudaa nahin
bas sar basar aziiyat-o-aazaar hi raho
bezaar ho ga_ii ho bahut zindagii se tum
jab bas mein kuchh nahiin hai to bezaar hii raho
tum ko yahaaN ke saayaa-e-partau se kyaa Garaz
tum apane haq men bich ki divaar hi raho
======
main ibtadaa-e-ishq mein bemahar hii rahaa
tum intahaa-e-ishq kaa miyaar hii raho
tum Khoon thokati ho ye sun kar Khushii hoi
is rang is adaa mein bhi pur_kaar hii raho
main ne ye kab kahaa thaa ke muhabbat mein hai najaat
main ne ye kab kahaa thaa ke vafadaar hii raho
apanii mataa-e-naaz luTaa kar mere liye
baazaar-e-iltafaat mein naadaar hi raho
jab main tumhen nishaat-e-muhabbat na de sakaa
Gam mein kabhii sukuun-e-rafaaqat na de sakaa
jab mere saare charaaG-e-tamannaa havaa ke hain
jab mere saare Khvaab kisii bevafaa ke hain
phir mujhe chaahane kaa tumhen ko_ii haq nahin